lakiren kaun khinchega
Interesting Fact
(Tahreek, Delhi)
lakīreñ khīñch do chāroñ-taraf us ke
lakīreñ khīñch do
ki vo nuqta hai
lekin dā.ere kī qaid se bāhar nikal jaa.e
to ik pal meñ
lakīreñ khīñch do chāroñ-taraf us ke
lakīreñ khīñch do
ki vo jaltā huā ik lafz hai jis ko
kisī ke hoñT ne ab tak nahīñ chūmā
agar chūme
lakīreñ khīñch do chāroñ-taraf us ke
lakīreñ khīñch do
vo ik aisā tasavvur hai agar alfāz ke malbūs meñ
tarsīl ho jaa.e
to maujeñ sāgaroñ kī baañh se āzād ho jaa.eñ
pahāḌoñ kī bulandī dekhte hī dekhte pātāl ke andar utar jaa.e
chamaktā garm sūraj apne hī qahr-o-ġhazab kī aag meñ jal kar pighal jaa.e
zamīn mādūm ho jaa.e
lakīreñ khīñch do chāroñ-taraf us ke
lakīreñ khīñch do
lekin
lakiren khinch do chaaron-taraf us ke
lakiren khinch do
ki wo nuqta hai
lekin daere ki qaid se bahar nikal jae
to ek pal mein
lakiren khinch do chaaron-taraf us ke
lakiren khinch do
ki wo jalta hua ek lafz hai jis ko
kisi ke honT ne ab tak nahin chuma
agar chume
lakiren khinch do chaaron-taraf us ke
lakiren khinch do
wo ek aisa tasawwur hai agar alfaz ke malbus mein
tarsil ho jae
to maujen sagaron ki banh se aazad ho jaen
pahaDon ki bulandi dekhte hi dekhte patal ke andar utar jae
chamakta garm suraj apne hi qahr-o-ghazab ki aag mein jal kar pighal jae
zamin madum ho jae
lakiren khinch do chaaron-taraf us ke
lakiren khinch do
lekin
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 52)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.