lamha jo amar ho gaya
fitrat-e-muztarib
merā shauq-e-fuzūl
jaane kab ik kitāb
shelf se terī le aaya thā
yaad kī terī purvā.ī kal jo chalī
bol uThe us ke saare varaq
tere lab ke gulāb
terī āñkhoñ ke jaam
tere mukhḌe kī sub.h
terī zulfoñ kī shaam
mustaqil ik ḳhalish
dard-e-be-nām jis ko kaheñ
aur phir
chand safhoñ ke baa'd
gul kī ik pankhuḌī
zard murjhā.ī be-rang sī
jism kī tere ḳhushbū thī us meñ magar
thī nazākat laboñ kī tire
uñgliyoñ ke nishāñ
āñsūoñ kī namī
merī nazroñ ne phir
us ko sajda kiyā
aur vo lamha jaise amar ho gayā
fitrat-e-muztarib
mera shauq-e-fuzul
jaane kab ek kitab
shelf se teri le aaya tha
yaad ki teri purwai kal jo chali
bol uThe us ke sare waraq
tere lab ke gulab
teri aankhon ke jam
tere mukhDe ki subh
teri zulfon ki sham
mustaqil ek KHalish
dard-e-be-nam jis ko kahen
aur phir
chand safhon ke ba'd
gul ki ek pankhuDi
zard murjhai be-rang si
jism ki tere KHushbu thi us mein magar
thi nazakat labon ki tere
ungliyon ke nishan
aansuon ki nami
meri nazron ne phir
us ko sajda kiya
aur wo lamha jaise amar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.