lamhe ki baat
ye us lamhe kī baat hai
jab aañkh jhapakne se Dar lagtā
aur is Dar meñ lipTī huī
adhūrā hone kī ḳhvāhish
Tahalte Tahalte
jhuuT kī us dīvār ke paas pahuñch jaatī
jis kī buniyādoñ meñ
nauzā.ida sach dafn the
tab maiñ ḳhāmoshī ke chatiyal maidān meñ
tan ke khaḌā ho jaatā
aur anjānī manziloñ se aatī huī havā
lafzoñ ke pairāhan se ek ek kar ke
sab rang utārnā shurūa kar detī
aur tum
mujhe apnī taraf dekhtā dekh kar
ronā shurūa kar detī aur
mujhe aañkh khulne se Dar lagne lagtā
aur is Dar meñ lipTī huī
mukammal hone kī ḳhvāhish
tumhārī āvāz meñ shāmil ho jaatī
jo sargoshiyāñ ban kar
mere bāloñ meñ ungliyāñ phertī
aur maiñ tumheñ chup karāte karāte
dīvār kī buniyād meñ utar jaatā
ye us lamhe ki baat hai
jab aankh jhapakne se Dar lagta
aur is Dar mein lipTi hui
adhura hone ki KHwahish
Tahalte Tahalte
jhuT ki us diwar ke pas pahunch jati
jis ki buniyaadon mein
nauzaida sach dafn the
tab main KHamoshi ke chatiyal maidan mein
tan ke khaDa ho jata
aur anjaani manzilon se aati hui hawa
lafzon ke pairahan se ek ek kar ke
sab rang utarna shurua kar deti
aur tum
mujhe apni taraf dekhta dekh kar
rona shurua kar deti aur
mujhe aankh khulne se Dar lagne lagta
aur is Dar mein lipTi hui
mukammal hone ki KHwahish
tumhaari aawaz mein shamil ho jati
jo sargoshiyan ban kar
mere baalon mein ungliyan pherti
aur main tumhein chup karaate karaate
diwar ki buniyaad mein utar jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.