lamhon ka zaKHm
ye havā.eñ ye fazā.eñ ye sulagte ehsās
kitne ġham baḌh ke añdheroñ kī tarah phail ga.e
kitne chehroñ ke diye bujh ga.e jalte jalte
ahd-e-māzī kī alamnāk ghaḌī phir tirī yaad kī tasvīr uThā laa.ī hai
dil ke darvāze pe dastak dene
dard ke haath kī baḌhtī huī parchhā.ī hai
aur maiñ soch rahā huuñ baiThā
terī zulfoñ kī mahak
tere badan kī ḳhushbū
ab kisī aur ke bistar pe numāyāñ hoñge
tire aariz kī damak
terī nazar kā jaadū
ab kisī aur kī taskīn kā sāmāñ hoñge
tū kisī aur kī dahlīz pe jā pahuñchī hai
maiñ kahīñ aur tirī yaad liye phirtā huuñ
tū kisī aur kī bāhoñ meñ simaT aa.ī hai
maiñ kahīñ aur tire pyaar kā dam bhartā huuñ
maiñ ne chāhā thā ki maiñ tere liye giit likhūñ
maiñ ne chāhā thā ki tū mere liye raah take
maiñ ne chāhā thā ki maiñ tere liye ḳhvāb bunūñ
ye bhī chāhā thā ki tū ḳhvāb kī ta.abīr bane
tū mirī ruuh ke jazbāt se Takrā na sakī
mujh ko Thukrā diyā hālāt se Takrā na sakī
zindagī vaqt kī zulmāt se Takrā na sakī
aur mirī raat tirī raat se Takrā na sakī
jabki maiñ aaj tirā koī nahīñ
phir tirī yaad mire saath ulajhtī kyoñ hai
jab tirā mujh se ta'alluq hī nahīñ
terī parchhā.īñ mire dil meñ sulagtī kyoñ hai
ye hawaen ye fazaen ye sulagte ehsas
kitne gham baDh ke andheron ki tarah phail gae
kitne chehron ke diye bujh gae jalte jalte
ahd-e-mazi ki alamnak ghaDi phir teri yaad ki taswir uTha lai hai
dil ke darwaze pe dastak dene
dard ke hath ki baDhti hui parchhai hai
aur main soch raha hun baiTha
teri zulfon ki mahak
tere badan ki KHushbu
ab kisi aur ke bistar pe numayan honge
tere aariz ki damak
teri nazar ka jadu
ab kisi aur ki taskin ka saman honge
tu kisi aur ki dahliz pe ja pahunchi hai
main kahin aur teri yaad liye phirta hun
tu kisi aur ki bahon mein simaT aai hai
main kahin aur tere pyar ka dam bharta hun
main ne chaha tha ki main tere liye git likhun
main ne chaha tha ki tu mere liye rah take
main ne chaha tha ki main tere liye KHwab bunun
ye bhi chaha tha ki tu KHwab ki tabir bane
tu meri ruh ke jazbaat se Takra na saki
mujh ko Thukra diya haalat se Takra na saki
zindagi waqt ki zulmat se Takra na saki
aur meri raat teri raat se Takra na saki
jabki main aaj tera koi nahin
phir teri yaad mere sath ulajhti kyon hai
jab tera mujh se ta'alluq hi nahin
teri parchhain mere dil mein sulagti kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.