dil nahīñ māntā
mujh ko sach sach batā
aaj bhī tere kamre kī korī mahak
DhūñDhtī hai mujhe
tere suune darīche kī bekal havā
jis ne pakḌā thā ik roz dāman mirā
jab tire paas aa.ī vo jān-e-vafā
tujh se pūchhā mirā
shelf meñ rakkhī saarī kitāboñ ke uupar jamī dhuul meñ
un meñ rakkhe hue kāsnī phuul meñ
tere ma.amūl meñ
ab bhī maujūd huuñ
ġhaur se dekh le
ghar ke rauzan se aatī rupahlī kiran
us ko lagtā nahīñ ghar kā ḳhālī badan
kyā mire ḳhvāb kī koī TuuTī kaḌī
tere bistar pe hai ban ke silvaT paḌī
kyā tire narm takiye pe aañsū mire
aaj bhī jazb haiñ
vo tire lamp kī dūdhiyā raushnī
tujh se terī udāsī nahīñ pūchhtī
terī tanhā.ī ke ḳhvāb māhaul meñ
khankhanātī hai kyā merī pāgal hañsī
kyā tirī diary ke mahakte varaq
mere baare meñ kuchh bhī nahīñ pūchhte
kyā kisī harf ne tujh ko Tokā nahīñ
sīḌhiyoñ pe tirī
ḳhushnumā phuul kī
vo jo beleñ thiiñ vo āte-jāte hue
kyā tirā rāsta bhī nahīñ roktīñ
mujh ko sach sach batā
be-ḳhayālī meñ kyā
merī yādoñ ko tū ne rakhā ho kahīñ
aur DhūñDā kahīñ
dil ko kyuuñ hai yaqīñ
ishq gar bhuul jaanā bhī chāhe kabhī
lams apnī kahānī nahīñ bhūltā
dil nahin manta
mujh ko sach sach bata
aaj bhi tere kamre ki kori mahak
DhunDhti hai mujhe
tere sune dariche ki bekal hawa
jis ne pakDa tha ek roz daman mera
jab tere pas aai wo jaan-e-wafa
tujh se puchha mera
shelf mein rakkhi sari kitabon ke upar jami dhul mein
un mein rakkhe hue kasni phul mein
tere mamul mein
ab bhi maujud hun
ghaur se dekh le
ghar ke rauzan se aati rupahli kiran
us ko lagta nahin ghar ka KHali badan
kya mere KHwab ki koi TuTi kaDi
tere bistar pe hai ban ke silwaT paDi
kya tere narm takiye pe aansu mere
aaj bhi jazb hain
wo tere lamp ki dudhiya raushni
tujh se teri udasi nahin puchhti
teri tanhai ke KHwab mahaul mein
khankhanati hai kya meri pagal hansi
kya teri diary ke mahakte waraq
mere bare mein kuchh bhi nahin puchhte
kya kisi harf ne tujh ko Toka nahin
siDhiyon pe teri
KHushnuma phul ki
wo jo belen thin wo aate-jate hue
kya tera rasta bhi nahin roktin
mujh ko sach sach bata
be-KHayali mein kya
meri yaadon ko tu ne rakha ho kahin
aur DhunDa kahin
dil ko kyun hai yaqin
ishq gar bhul jaana bhi chahe kabhi
lams apni kahani nahin bhulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.