last call
abhī kuchh baat karnī hai abhī tum phone mat rakhnā
mujhe ye jānñā hai hai ab tumhārā haal kaisā hai
na.e logo meñ ik rishta purānā yaad aatā hai
mujhe batlāo tum ne aaj kaise kapḌe pahne haiñ
dupaTTe se tumhāre ab bhī kyā dhāge nikalte haiñ
kyā ab bhī chūḌiyāñ hāthoñ kī mushkil se utartī haiñ
kyā ab bhī chaltī ho to pāyaleñ āvāz kartī haiñ
tumhāre haath par jalne kā vo ik daaġh kaisā hai
kyā ab bhī vo kalā.ī par tumhārī chāñd jaisā hai
kyā ab bhī purse meñ tum phuul kī pattī chhupātī ho
kyā ab bhī titliyoñ ko dekh kar tum muskurātī ho
kyā ab bhī kuchh sharārat karke tum sharmā sī jaatī ho
kyā ab bhī hañstī ho to haath se chehra chhupātī ho
kyā tum ko ab bhī koī chheḌ de to ruuTh jaatī ho
kyā tum ab bhī kisī ko pyaar se qasmeñ khilātī ho
abhī kuchh baat karnī hai abhī tum phone mat rakhnā
mujhe apnā bhī kuchh qissa abhī tum ko sunānā hai
badan aur ruuh pe aa.ī huī silvaT dikhānā hai
mirī shah-e-rag pe har dam hijr kī talvār laTkī hai
merī dhaḌkan bhī ab rukne kī tayyārī meñ rahtī hai
mire gamle meñ rakkhe phuul tum ko yaad karte haiñ
tumhārī yaad kī ḳhushbū se ye raste mahakte haiñ
magar chhoḌo mujhe mā'lūm hai tum aa na pāogī
na.e logoñ meñ apnā ik nayā rishta banāogī
maiñ tum ko bhuul jā.ūñ ye bahut mushkil sā lagtā hai
mujhe tum bhuul jaao ye tumhāre haq meñ achchhā hai
mujhe is se ziyāda aur tum se kuchh nahīñ kahnā
mirā number miTā do tum mujhe ab phone mat karnā
abhi kuchh baat karni hai abhi tum phone mat rakhna
mujhe ye jaanna hai hai ab tumhaara haal kaisa hai
nae logo mein ek rishta purana yaad aata hai
mujhe batlao tum ne aaj kaise kapDe pahne hain
dupaTTe se tumhaare ab bhi kya dhage nikalte hain
kya ab bhi chuDiyan hathon ki mushkil se utarti hain
kya ab bhi chalti ho to payalen aawaz karti hain
tumhaare hath par jalne ka wo ek dagh kaisa hai
kya ab bhi wo kalai par tumhaari chand jaisa hai
kya ab bhi purse mein tum phul ki patti chhupati ho
kya ab bhi titliyon ko dekh kar tum muskuraati ho
kya ab bhi kuchh shararat karke tum sharma si jati ho
kya ab bhi hansti ho to hath se chehra chhupati ho
kya tum ko ab bhi koi chheD de to ruTh jati ho
kya tum ab bhi kisi ko pyar se qasmen khilati ho
abhi kuchh baat karni hai abhi tum phone mat rakhna
mujhe apna bhi kuchh qissa abhi tum ko sunana hai
badan aur ruh pe aai hui silwaT dikhana hai
meri shah-e-rag pe har dam hijr ki talwar laTki hai
meri dhaDkan bhi ab rukne ki tayyari mein rahti hai
mere gamle mein rakkhe phul tum ko yaad karte hain
tumhaari yaad ki KHushbu se ye raste mahakte hain
magar chhoDo mujhe ma'lum hai tum aa na paogi
nae logon mein apna ek naya rishta banaogi
main tum ko bhul jaun ye bahut mushkil sa lagta hai
mujhe tum bhul jao ye tumhaare haq mein achchha hai
mujhe is se ziyaada aur tum se kuchh nahin kahna
mera number miTa do tum mujhe ab phone mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.