latifa
khelte khelte koī bachcha
ek din ik kuñ.eñ pe jā pahuñchā
apnī sūrat use nazar aa.ī
jhāñk kar us ne us meñ jab dekhā
kam-samajh aur bevaqūf thā vo
samjhā koī kuñ.eñ meñ hai baiThā
Dar ke bhāgā vo apne ghar kī taraf
raah meñ mil ga.e use abbā
bolā koī kuñ.eñ meñ baiThā hai
dekh kar jis ko Dar ke maiñ bhāgā
abbā aa.e kuñ.eñ pe ġhusse meñ
dekh kar us meñ apnā hī saaya
bole jhuñjhlā ke kyuuñ miyāñ sāhab
dāḌhī rakh kar ye harakat-e-bejā
ik to bachchoñ ko tum Darāte ho
us pe āñkheñ hameñ dikhāte ho
khelte khelte koi bachcha
ek din ek kunen pe ja pahuncha
apni surat use nazar aai
jhank kar us ne us mein jab dekha
kam-samajh aur bewaquf tha wo
samjha koi kunen mein hai baiTha
Dar ke bhaga wo apne ghar ki taraf
rah mein mil gae use abba
bola koi kunen mein baiTha hai
dekh kar jis ko Dar ke main bhaga
abba aae kunen pe ghusse mein
dekh kar us mein apna hi saya
bole jhunjhla ke kyun miyan sahab
daDhi rakh kar ye harakat-e-beja
ek to bachchon ko tum Daraate ho
us pe aankhen hamein dikhate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.