lauT aa
dhīre dhīre yaḳh-basta kashmīrī sard havā.eñ
safed barfīlī chaTTānoñ se Takrā ke
apne vajūd ko ghāTī meñ mudġham kartī
shor machātī
choTī pe munaqqash mere bangle se lipaT jātīñ
shaffāf barf-posh ho ga.ī thī rāste kī har lakīr
aise meñ vo dekhne aayā thā barfīlā kashmīr
tavīl masāfat tai karne ke baa'd
us ne sun rakhā thā bahut kuchh
kashmīr kī dilkash bahāroñ ke baare
kashmīr ke dil-fareb nazāroñ ke baare
kashmīr ke za.afrān-zāroñ ke baare
kashmīr ke jharnoñ ābshāroñ ke baare
kashmīr ke lazīz rasīle phaloñ ke baare
magar afsos
ki vo laakh koshish ke bāvajūd bhī
lutf-andoz na ho sakā
vo chaah kar bhī bangle ke darvāze tak na aa sakā
masdūd rāstoñ ke sabab
us ke tamām ḳhvāb sarāb hue
us kī talab tishna rah ga.ī
chhoḌ gayā mere naam bahut se paiġhām-e-shauq
sar-phirī havāoñ ke haath
vo chalā gayā apnā saaya barf pe sabt karke
merī putliyoñ meñ sapnoñ kā mahlūl ghol ke
march ḳhatm ho rahā hai
april dastak de rahā hai
us zālim se koī kah de rāstoñ kī lakīr saaf hone lagī hai
barf pighalne lagī hai
lauT aa
dhire dhire yaKH-basta kashmiri sard hawaen
safed barfili chaTTanon se Takra ke
apne wajud ko ghaTi mein mudgham karti
shor machati
choTi pe munaqqash mere bangle se lipaT jatin
shaffaf barf-posh ho gai thi raste ki har lakir
aise mein wo dekhne aaya tha barfila kashmir
tawil masafat tai karne ke ba'd
us ne sun rakha tha bahut kuchh
kashmir ki dilkash bahaaron ke bare
kashmir ke dil-fareb nazaron ke bare
kashmir ke zafran-zaron ke bare
kashmir ke jharnon aabshaaron ke bare
kashmir ke laziz rasile phalon ke bare
magar afsos
ki wo lakh koshish ke bawajud bhi
lutf-andoz na ho saka
wo chah kar bhi bangle ke darwaze tak na aa saka
masdud raston ke sabab
us ke tamam KHwab sarab hue
us ki talab tishna rah gai
chhoD gaya mere nam bahut se paigham-e-shauq
sar-phiri hawaon ke hath
wo chala gaya apna saya barf pe sabt karke
meri putliyon mein sapnon ka mahlul ghol ke
march KHatm ho raha hai
april dastak de raha hai
us zalim se koi kah de raston ki lakir saf hone lagi hai
barf pighalne lagi hai
lauT aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.