lauTa do meri tanhai
mai bhī hai saaqī bhī hai phir lutf-e-mai-ḳhāna nahīñ
merī bātoñ ko samajh le aisā dīvāna nahīñ
gardish-e-ayyām ne bhī mujh ko pahchānā nahīñ
phir se lauTā do ḳhudārā merī tanhā.ī mujhe
ranj-o-ġham dekhe haiñ maiñ ne aur ḳhushī bhī dekh lī
dīda-e-insāñ meñ qadr-e-zindagī bhī dekh lī
zaḳhm dil ke kyoñ kuredūñ dostī bhī dekh lī
phir se lauTā do ḳhudārā merī tanhā.ī mujhe
phir tasavvur shām-e-furqat kī taraf jaane lagā
shiddatoñ ke saath koī mujh ko yaad aane lagā
ab bharī mahfil meñ merā jī hī ghabrāne lagā
phir se lauTā do ḳhudārā merī tanhā.ī mujhe
mai bhi hai saqi bhi hai phir lutf-e-mai-KHana nahin
meri baaton ko samajh le aisa diwana nahin
gardish-e-ayyam ne bhi mujh ko pahchana nahin
phir se lauTa do KHudara meri tanhai mujhe
ranj-o-gham dekhe hain main ne aur KHushi bhi dekh li
dida-e-insan mein qadr-e-zindagi bhi dekh li
zaKHm dil ke kyon kuredun dosti bhi dekh li
phir se lauTa do KHudara meri tanhai mujhe
phir tasawwur sham-e-furqat ki taraf jaane laga
shiddaton ke sath koi mujh ko yaad aane laga
ab bhari mahfil mein mera ji hi ghabrane laga
phir se lauTa do KHudara meri tanhai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.