Lay-by area
tum ne ġhaur se dekhā
tum jahāñ pe ho is vaqt
kal vahāñ pe ik laḌkī be-tahāshā hairat se tum ko apnī āñkhoñ meñ ghūñT ghūñT chuntī thī
tum jo sar jhukā kar yuuñ
be-ḳhabar se baiThe the
jānte nahīñ ho nā
vaqt kī na.ī dhun par
nazm ho rahe the tum
kyā tumhāre chehre par
apnī ḳhālī āñkhoñ se
koī nazm likkhegā
kyā ḳhabar ye hai tum ko
jab na aur kuchh sūjhe
tum nazar churāne ko apnā sail uThāte ho
us ghaḌī meñ bhī tum ne
jhilmilātī āñkhoñ se
phir nazar churāne ko
apnā sail uThāyā hai
be-panāh mohabbat ke
kapkapāte hāthoñ kī saarī uljhī rekhā.eñ tum ne dekh lī thiiñ nā
phir usī jagah tum ko
kyā milā koī aisā
jis ke haath par tum ne apnā haath rakkhā to us kī ruuh tak kāñpī
jab kisī kī chhāñv meñ
tez dhuup jaisī ik dopahar mayassar ho
us samay meñ kyā tum ne
ḳhud ko us kī āñkhoñ ke dasht se guzārā hai
kyā kisī ne bhī ab tak tum ko apnī sāñsoñ se jism meñ utārā hai
dekh kar batāo nā
jis jagah pe baiThe ho
hai vahāñ koī aisā
hai koī mire jaisā
tum ne ghaur se dekha
tum jahan pe ho is waqt
kal wahan pe ek laDki be-tahasha hairat se tum ko apni aankhon mein ghunT ghunT chunti thi
tum jo sar jhuka kar yun
be-KHabar se baiThe the
jaante nahin ho na
waqt ki nai dhun par
nazm ho rahe the tum
kya tumhaare chehre par
apni KHali aankhon se
koi nazm likkhega
kya KHabar ye hai tum ko
jab na aur kuchh sujhe
tum nazar churane ko apna sail uThate ho
us ghaDi mein bhi tum ne
jhilmilati aankhon se
phir nazar churane ko
apna sail uThaya hai
be-panah mohabbat ke
kapkapate hathon ki sari uljhi rekhaen tum ne dekh li thin na
phir usi jagah tum ko
kya mila koi aisa
jis ke hath par tum ne apna hath rakkha to us ki ruh tak kanpi
jab kisi ki chhanw mein
tez dhup jaisi ek dopahar mayassar ho
us samay mein kya tum ne
KHud ko us ki aankhon ke dasht se guzara hai
kya kisi ne bhi ab tak tum ko apni sanson se jism mein utara hai
dekh kar batao na
jis jagah pe baiThe ho
hai wahan koi aisa
hai koi mere jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.