libas
kaun sī aisī shai hai jis ne
muñh par taale Daal diye
rang tumhāre
chhīn liye
rang chaḌhā.e lahū sajā.e
kaun lahū hai kaun lahū ho
bāteñ itnī kis kī haiñ
din bhar holī khel chuke ho
kis ke añg meñ kis ke rang the
ik din aisā bhī aa.egā
rang meñ lipTe sej pe baiThe
raat saheñge
ziist kī chādar kā jal kar ke nain sañvāre
baat kareñge
bāteñ bāteñ bāteñ hoñgī
surḳhī zardī aur kajlāhaT
ghul mil ke sab
sub.h ke ruḳh par pare jamā.e bain kareñgī
kaun sunegā
kaun si aisi shai hai jis ne
munh par tale Dal diye
rang tumhaare
chhin liye
rang chaDhae lahu sajae
kaun lahu hai kaun lahu ho
baaten itni kis ki hain
din bhar holi khel chuke ho
kis ke ang mein kis ke rang the
ek din aisa bhi aaega
rang mein lipTe sej pe baiThe
raat sahenge
zist ki chadar ka jal kar ke nain sanware
baat karenge
baaten baaten baaten hongi
surKHi zardi aur kajlahaT
ghul mil ke sab
subh ke ruKH par pare jamae bain karengi
kaun sunega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.