likh rahi hun tumhein
likh rahī huuñ tumheñ
apne dil ke sunahre varq pe abhī
dekhnā tum ujāloñ kī yūrish meñ
kaise nikhartī huuñ maiñ
maiñ ne maanā ki guzre dinoñ kī tamāzat meñ jhulsā hai man
maiñ ne maanā havas ke ḳharājāt meñ mar gayā hai badan
shabnamī raat kī aas meñ āñkheñ banjar huiiñ
chāñd kī raushnī se havāsoñ pe chhāle paḌe
maiñ ne sūraj se āñkheñ churāne kī koshish nahīñ kī kabhī
maiñ ne apne lahū ko bachā kar rakhā thā
likkhūñgī kisī din sunahre varaq pe vo ik ahmarīñ naam
jis kī chamak mere saare añdheroñ ko zaa.il karegī
likhūñgī havāoñ ke āñchal pe tum ko
likhūñgī maiñ indar-dhanush kī kamāñ par
likkhūñgī tumheñ apne vahm-o-gumāñ par
tumheñ likh rahī huuñ maiñ jharnoñ kī dhun par
tumheñ likh rahī huuñ maiñ chiḌiyoñ kī gat par
mire āñsūoñ ne mirī ruuh ko nam rakhā hai abhī tak
tumheñ likh rahī huuñ maiñ un ankuroñ par
jinhoñ ne tumheñ
ek chhitnār karne kā va.ada kiyā hai
likh rahi hun tumhein
apne dil ke sunahre warq pe abhi
dekhna tum ujalon ki yurish mein
kaise nikharti hun main
main ne mana ki guzre dinon ki tamazat mein jhulsa hai man
main ne mana hawas ke KHarajat mein mar gaya hai badan
shabnami raat ki aas mein aankhen banjar huin
chand ki raushni se hawason pe chhaale paDe
main ne suraj se aankhen churane ki koshish nahin ki kabhi
main ne apne lahu ko bacha kar rakha tha
likkhungi kisi din sunahre waraq pe wo ek ahmarin nam
jis ki chamak mere sare andheron ko zail karegi
likhungi hawaon ke aanchal pe tum ko
likhungi main indar-dhanush ki kaman par
likkhungi tumhein apne wahm-o-guman par
tumhein likh rahi hun main jharnon ki dhun par
tumhein likh rahi hun main chiDiyon ki gat par
mere aansuon ne meri ruh ko nam rakha hai abhi tak
tumhein likh rahi hun main un ankuron par
jinhon ne tumhein
ek chhitnar karne ka wada kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.