lo gard aur kitaben
sulagte din haiñ
tavīl tanhā.iyāñ mire saath leTe leTe
fazā se āñkheñ laḌā rahī haiñ
mire darīche ke paas sunsān rahguzar hai
abhī abhī ek relā aayā thā gard kā jo lapeT kar le gayā hai tinkoñ ko saath apne
mirī kitāboñ meñ kuchh nahīñ hai
hurūf be-rūh bad-maza haiñ
hikāyateñ apne ḳhushk hoñToñ ko chāTtī haiñ
tamām ash.ār-e-tishnagī ke lahū meñ palkeñ Dubo rahe haiñ
na rañg-o-naġhma na jām-o-mīnā na raqs-o-mastī
bagūle sab ko nigal rahe haiñ
tumhārī tasvīr DhūñDhtā huuñ
ki jis ke ThanDe ghanere saa.e meñ baiTh kar koī baat sochūñ
magar mire paas lū ke jhoñke haiñ gard hai aur kuchh kitābeñ
tumhārī tasvīr kho chukī hai
sulagte din hain
tawil tanhaiyan mere sath leTe leTe
faza se aankhen laDa rahi hain
mere dariche ke pas sunsan rahguzar hai
abhi abhi ek rela aaya tha gard ka jo lapeT kar le gaya hai tinkon ko sath apne
meri kitabon mein kuchh nahin hai
huruf be-ruh bad-maza hain
hikayaten apne KHushk honTon ko chaTti hain
tamam ashaar-e-tishnagi ke lahu mein palken Dubo rahe hain
na rang-o-naghma na jam-o-mina na raqs-o-masti
bagule sab ko nigal rahe hain
tumhaari taswir DhunDhta hun
ki jis ke ThanDe ghanere sae mein baiTh kar koi baat sochun
magar mere pas lu ke jhonke hain gard hai aur kuchh kitaben
tumhaari taswir kho chuki hai
- Book : Lambi Barish (Pg. 25)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.