lohe ke jabDe
tumheñ yaad hogā
tum ne mujhe pichhle baras ḳhat meñ april bhejā
jo mujh tak pahuñchte pahuñchte august ho gayā
lafz piile pattoñ kī tarah
farsh par bikhar ga.e
december kī sard rātoñ meñ
maiñ va.adoñ ke ātish-dān par
baiThī jāgtī rahī
merī ragoñ meñ jamā huā december
āñkhoñ se pighal kar
bahtā rahtā hai
is baras mujhe
ḳhat meñ kuchh nahīñ bhejnā
kuchh bhī nahīñ
shāyad aziyyatoñ se bharī
shāḳhoñ par
kisī va.ade kī koñpal
phuuT paḌe
mausamoñ kā kyā hai kab badal jaa.eñ
be-e'tibār lahjoñ kī tarah
vaqt sab kuchh ulaT palaT rahā hai
shāyad tumhāre lauTne tak
bahut kuchh vaisā na rahe
jaisā tum chhoḌ ga.e the
lohe ke jabḌe
miTTī ke malbūs
ko tār-tār karte jā rahe haiñ
pul jahāñ se tum park ke kināre
khaḌe dikhā.ī dete the
vo manzar metro bas ne nigal liyā hai
sumbul ke peḌoñ kī jagah shopping mall le chukā hai
aur haañ
vo phūloñ vaalī dukān
jahāñ se ham buke lete the
vahāñ fast-fōd ban gayā
dil kī jagah añtaḌiyoñ ne le lī hai
kyā kuchh aur kaise badal jaatā hai
tumhein yaad hoga
tum ne mujhe pichhle baras KHat mein april bheja
jo mujh tak pahunchte pahunchte august ho gaya
lafz pile patton ki tarah
farsh par bikhar gae
december ki sard raaton mein
main wadon ke aatish-dan par
baiThi jagti rahi
meri ragon mein jama hua december
aankhon se pighal kar
bahta rahta hai
is baras mujhe
KHat mein kuchh nahin bhejna
kuchh bhi nahin
shayad aziyyaton se bhari
shaKHon par
kisi wade ki konpal
phuT paDe
mausamon ka kya hai kab badal jaen
be-e'tibar lahjon ki tarah
waqt sab kuchh ulaT palaT raha hai
shayad tumhaare lauTne tak
bahut kuchh waisa na rahe
jaisa tum chhoD gae the
lohe ke jabDe
miTTi ke malbus
ko tar-tar karte ja rahe hain
pul jahan se tum park ke kinare
khaDe dikhai dete the
wo manzar metro bas ne nigal liya hai
sumbul ke peDon ki jagah shopping mall le chuka hai
aur han
wo phulon wali dukan
jahan se hum buke lete the
wahan fast-food ban gaya
dil ki jagah antaDiyon ne le li hai
kya kuchh aur kaise badal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.