lorka
zamīñ pe aḌtīs baar pattoñ kā rang badlā
rutoñ kī mohlat to muḳhtasar thī
magar tumhārī sadāoñ meñ jāgtī thiiñ sadiyāñ
guitar kā ek sur udāsī
kisī parinde kī chīḳh jaise
tumhāre gītoñ kā dūsrā sur nashāt-e-tāza
ki jaise chashme ubal rahe hoñ
tumhārī nazmeñ qadīm rāzoñ kī sarsarāhaT
ragoñ meñ jaise lahū kī halchal
lahū tumhārā lahū daraḳhtoñ ke paas miTTī meñ jazb
gahrī jaḌoñ meñ gum hai
magar havā.eñ nagar nagar shā.iroñ ke dāman meñ Dāltī haiñ
tumhāre gītoñ ke phuul
ḳhvāboñ kī Tahniyoñ kī safed kaliyāñ
vo sabz hairat
jo tum ne zaitūn ke daraḳhtoñ meñ ghulte dekhī
nazar nazar meñ chamak rahī hai
tumhārā barbat ye kah rahā hai
ki giit bandūq se baḌā hai
zamin pe aDtis bar patton ka rang badla
ruton ki mohlat to muKHtasar thi
magar tumhaari sadaon mein jagti thin sadiyan
guitar ka ek sur udasi
kisi parinde ki chiKH jaise
tumhaare giton ka dusra sur nashat-e-taza
ki jaise chashme ubal rahe hon
tumhaari nazmen qadim raazon ki sarsarahaT
ragon mein jaise lahu ki halchal
lahu tumhaara lahu daraKHton ke pas miTTi mein jazb
gahri jaDon mein gum hai
magar hawaen nagar nagar shairon ke daman mein Dalti hain
tumhaare giton ke phul
KHwabon ki Tahniyon ki safed kaliyan
wo sabz hairat
jo tum ne zaitun ke daraKHton mein ghulte dekhi
nazar nazar mein chamak rahi hai
tumhaara barbat ye kah raha hai
ki git banduq se baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.