lughat mahdud hai
udāsī baat kartī hai kisī anjān bolī meñ
sukūñ kā phuul dil ke shāḳhchoñ se toḌ letī hai
ye nīñdoñ ko uThā letī hai āñkhoñ ke kaToroñ se
kabhī khoī huī yādeñ kahīñ se khoj laatī hai
bahut sī an-kahī bāteñ kahīñ se gher laatī hai
hathelī par sajā laatī hai vo sūkhe hue patte
rachī hai jin ke reshoñ meñ koī bhūlī huī ḳhushbū
likhe haiñ jin pe guzre mausamoñ ke dil-nashīñ lamhe
purāne se purānā qufl pal meñ khol detī hai
udāsī jā utartī hai
badan ke un jazīroñ par
jinheñ vīrān rakhnā ho
udāsī TimTimātī hai
lahū ke un ilāqoñ meñ
jinheñ tārīk rakhnā ho
udasi baat karti hai kisi anjaan boli mein
sukun ka phul dil ke shaKHchon se toD leti hai
ye nindon ko uTha leti hai aankhon ke kaToron se
kabhi khoi hui yaaden kahin se khoj lati hai
bahut si an-kahi baaten kahin se gher lati hai
hatheli par saja lati hai wo sukhe hue patte
rachi hai jin ke reshon mein koi bhuli hui KHushbu
likhe hain jin pe guzre mausamon ke dil-nashin lamhe
purane se purana qufl pal mein khol deti hai
udasi ja utarti hai
badan ke un jaziron par
jinhen viran rakhna ho
udasi TimTimati hai
lahu ke un ilaqon mein
jinhen tarik rakhna ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.