ma’siyat
maiñ ne chhuā to
vo duudh kīchaḌ ban ban ke phailā
‘iffat havā kī
sāñsoñ meñ ghul kar
gadle dhueñ kī sūrat meñ phailī
shīshe ke suthre ujle badan par
mere badan ne
kālak sī thopī
saare muqaddas hujroñ ke andar
rūheñ nahā kar haiñ sar-ba-sajda
ūñche manāre āvāz ban kar
merā ta'āqub karte rahe haiñ
saañp aur kazdum
baiThe hue haiñ
mere badan kī lazzat ko chakkheñ
mā'sūm āñkheñ
shānoñ ko mere sho'le ugalte
hairāñ hirāsāñ chup dekhtī haiñ
nūrānī parbat sabze kī shāleñ tan pe lapeTe
niile ufuq par Thahre hue haiñ
maiñ ne hī apnī is raushnī ko sho'loñ meñ Dhālā
aur apne saare ḳhirman jalā kar
sho'loñ kī dhun par raqsāñ huuñ tanhā
main ne chhua to
wo dudh kichaD ban ban ke phaila
‘iffat hawa ki
sanson mein ghul kar
gadle dhuen ki surat mein phaili
shishe ke suthre ujle badan par
mere badan ne
kalak si thopi
sare muqaddas hujron ke andar
ruhen naha kar hain sar-ba-sajda
unche manare aawaz ban kar
mera ta'aqub karte rahe hain
sanp aur kazdum
baiThe hue hain
mere badan ki lazzat ko chakkhen
ma'sum aankhen
shanon ko mere sho'le ugalte
hairan hirasan chup dekhti hain
nurani parbat sabze ki shaalen tan pe lapeTe
nile ufuq par Thahre hue hain
main ne hi apni is raushni ko sho'lon mein Dhaala
aur apne sare KHirman jala kar
sho'lon ki dhun par raqsan hun tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.