madar-e-hind ka KHitab
Interesting Fact
(ہندو اور مسلمانوں سے)
hindū bhī mujhe pyāre muslim bhī mujhe pyāre
mere liye donoñ haiñ āñkhoñ ke mirī taare
is des ke baasī haiñ is ḳhaak se paidā haiñ
aapas ke ye jhagḌe phir kyoñ in meñ huvaidā haiñ
hai dil se duā merī masrūr raheñ donoñ
dukh-dard se duniyā ke ye duur raheñ donoñ
kuchh shak nahīñ donoñ haiñ TukḌe ye mire dil ke
hāsil ho sukūñ mujh ko donoñ jo raheñ mil ke
hindū bhī phale phūle muslim bhī phale phūle
haañ haañ kī magar ḳhidmat ye bhūle na vo bhūle
mandir meñ bajeñ ghanTe masjid meñ azāneñ hoñ
in bātoñ pe laḌ-laḌ kar barbād na jāneñ hoñ
donoñ ko yahīñ marnā donoñ ko yahīñ jiinā
kyoñ bair rahe in meñ kyoñ in meñ rahe kiina
parnām bhī jaarī ho taslīm rahe qaa.em
qur.ān kī vedoñ kī ta.alīm rahe qaa.em
hindī kā bhī charchā ho urdu bhī phale-phūle
jhūle meñ taraqqī ke har ek zabāñ jhūle
nāshād na ho koī haañ shaad raheñ donoñ
āzād raheñ donoñ āzād raheñ donoñ
hindu bhi mujhe pyare muslim bhi mujhe pyare
mere liye donon hain aankhon ke meri tare
is des ke basi hain is KHak se paida hain
aapas ke ye jhagDe phir kyon in mein huwaida hain
hai dil se dua meri masrur rahen donon
dukh-dard se duniya ke ye dur rahen donon
kuchh shak nahin donon hain TukDe ye mere dil ke
hasil ho sukun mujh ko donon jo rahen mil ke
hindu bhi phale phule muslim bhi phale phule
han han ki magar KHidmat ye bhule na wo bhule
mandir mein bajen ghanTe masjid mein azanen hon
in baaton pe laD-laD kar barbaad na jaanen hon
donon ko yahin marna donon ko yahin jina
kyon bair rahe in mein kyon in mein rahe kina
parnam bhi jari ho taslim rahe qaem
quran ki wedon ki talim rahe qaem
hindi ka bhi charcha ho urdu bhi phale-phule
jhule mein taraqqi ke har ek zaban jhule
nashad na ho koi han shad rahen donon
aazad rahen donon aazad rahen donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.