madar-e-hind
mādar-e-hind zamāne meñ tū ābād rahe
ham balā se hoñ giraftār tū ābād rahe
ham pe sau āfateñ nāzil hoñ masā.ib aa.eñ
tū magar ḳhush rahe ḳhurram rahe dil-shād rahe
terī ḳhidmat ke liye jab se kamar-basta haiñ
kis ko parvāh ki ābād yā barbād rahe
kis qadar ham pe jafā-gar ne jafā.eñ toḌīñ
taḳhta-e-mashq-e-sitam maurid-e-be-dād rahe
ham vafā ke haiñ vo bande ki kabhī aah na kī
dil ko roke hue thāme hue fariyād rahe
ham ne pīchhe na haTāyā kabhī maidāñ se qadam
teġh khīñche hue go sāmne jallād rahe
mulk-o-millat kī taraf-dārī se muñh kab moḌā
garche āmāda sitam par sitam-ījād rahe
shauq-e-parvāz na āzād-ḳhayāloñ kā gayā
daam Daale hue har-chand ki sayyād rahe
ḳhuun se kar ga.e sairāb chaman ko 'sābir'
kyuuñ na bhārat ko shahīdoñ kī sadā yaad rahe
madar-e-hind zamane mein tu aabaad rahe
hum bala se hon giraftar tu aabaad rahe
hum pe sau aafaten nazil hon masaib aaen
tu magar KHush rahe KHurram rahe dil-shad rahe
teri KHidmat ke liye jab se kamar-basta hain
kis ko parwah ki aabaad ya barbaad rahe
kis qadar hum pe jafa-gar ne jafaen toDin
taKHta-e-mashq-e-sitam maurid-e-be-dad rahe
hum wafa ke hain wo bande ki kabhi aah na ki
dil ko roke hue thame hue fariyaad rahe
hum ne pichhe na haTaya kabhi maidan se qadam
tegh khinche hue go samne jallad rahe
mulk-o-millat ki taraf-dari se munh kab moDa
garche aamada sitam par sitam-ijad rahe
shauq-e-parwaz na aazad-KHayalon ka gaya
dam Dale hue har-chand ki sayyaad rahe
KHun se kar gae sairab chaman ko 'sabir'
kyun na bhaarat ko shahidon ki sada yaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.