madar-e-hindostan
chaman ke zarre zarre se sadā ḳhushiyoñ kī aatī hai
ki āzādī ke naġhme aaj bulbul gungunātī hai
kalī khil kar bahāroñ ke chaman meñ giit gaatī hai
chaman kyā aaj to saarī ḳhudā.ī muskurātī hai
bahār aakar chaman meñ ik nayā muzhda sunātī hai
zamāna raqs meñ hai zindagī ḳhushiyāñ manātī hai
diyā ḳhūn-e-jigar ham ne to gulshan meñ bahār aa.ī
bahut muddat ke baad āḳhir ye jān-e-intizār aa.ī
diloñ kī be-qarārī kā yahī le kar qarār aa.ī
ḳhushā-qismat chaman meñ andalīb-e-naġhma-bār aa.ī
ye āzādī vatan meñ ik na.ī duniyā basātī hai
chaman meñ ab jidhar dekho javānī muskurātī hai
magar ik maḳhmase meñ mādar-e-hindostāñ hai aaj
use darkār ahl-e-hind kā azm-e-javāñ hai aaj
miTānā dushmanoñ kā dahr se nām-o-nishāñ hai aaj
kamar bāñdhe hue bhārat kā har pīr-o-javāñ hai aaj
hai vo naġhma har ik lab par ki dhartī chauñk jaatī hai
tirī lalkār se 'rif.at' ye duniyā thartharātī hai
chaman ke zarre zarre se sada KHushiyon ki aati hai
ki aazadi ke naghme aaj bulbul gungunati hai
kali khil kar bahaaron ke chaman mein git gati hai
chaman kya aaj to sari KHudai muskuraati hai
bahaar aakar chaman mein ek naya muzhda sunati hai
zamana raqs mein hai zindagi KHushiyan manati hai
diya KHun-e-jigar hum ne to gulshan mein bahaar aai
bahut muddat ke baad aaKHir ye jaan-e-intizar aai
dilon ki be-qarari ka yahi le kar qarar aai
KHusha-qismat chaman mein andalib-e-naghma-bar aai
ye aazadi watan mein ek nai duniya basati hai
chaman mein ab jidhar dekho jawani muskuraati hai
magar ek maKHmase mein madar-e-hindostan hai aaj
use darkar ahl-e-hind ka azm-e-jawan hai aaj
miTana dushmanon ka dahr se nam-o-nishan hai aaj
kamar bandhe hue bhaarat ka har pir-o-jawan hai aaj
hai wo naghma har ek lab par ki dharti chaunk jati hai
teri lalkar se 'rifat' ye duniya thartharaati hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 148)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.