mah-o-sal
isī ravish pe hai qaa.im mizāj-e-dīda-o-dil
lahū meñ ab bhī taḌaptī haiñ bijliyāñ ki nahīñ
zamīñ pe ab bhī utartā hai āsmāñ ki nahīñ?
kisī ke jaib-o-garebāñ kī āzmā.ish meñ
kabhī ḳhud apnī qabā kā ḳhayāl aatā hai
zarā sā vasvasa-e-māh-o-sāl aatā hai?
kabhī ye baat bhī sochī ki muntazir āñkheñ
ġhubār-e-rāhguzar meñ ujaḌ ga.ī hoñgī
nazar se TuuT chuke hoñge ḳhvāb ke raste
vo māhtāb sī nīndeñ bichhaḌ ga.ī hoñgī
niyāz-e-ḳhvājgī o shān-e-sarvarī kyā hai
shi.ār-e-mushfiqī o tarz-e-dilbarī kyā hai
ye be-ruḳhī ye adā-e-sitam bhī pūchheñge
hamārī umr ke ho lo to ham bhī pūchheñge
isi rawish pe hai qaim mizaj-e-dida-o-dil
lahu mein ab bhi taDapti hain bijliyan ki nahin
zamin pe ab bhi utarta hai aasman ki nahin?
kisi ke jaib-o-gareban ki aazmaish mein
kabhi KHud apni qaba ka KHayal aata hai
zara sa waswasa-e-mah-o-sal aata hai?
kabhi ye baat bhi sochi ki muntazir aankhen
ghubar-e-rahguzar mein ujaD gai hongi
nazar se TuT chuke honge KHwab ke raste
wo mahtab si ninden bichhaD gai hongi
niyaz-e-KHwajgi o shan-e-sarwari kya hai
shiar-e-mushfiqi o tarz-e-dilbari kya hai
ye be-ruKHi ye ada-e-sitam bhi puchhenge
hamari umr ke ho lo to hum bhi puchhenge
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 17)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.