mah
pyārī ammī tū ne mujh ko
paidā karke mujh par ik ehsān kiyā hai
pyaar diyā hai
maiñ royā to vyākul ho kar
tū ne apnā sab kuchh chhoḌā
jaag jaag kar rāteñ kāTīñ
khānā-pīnā bhuul ga.ī tū
merī ik muskān pe tū ne phuul bikhere
aur dukh saare bhuul ga.ī tū
lekin maiñ anjān sā bālak
terī piit ko jaan na paayā
mamtā ko pahchān na paayā
jab maiñ kuchh kuchh jaan gayā huuñ
tere har upkār kā ammī
baal baal par qarz hai mere
jis se maiñ to aaj talak hī
tujh ko kho kar soch rahā huuñ
jīvan meñ tū ne ai ammī
moh meñ rah kar apne hamesha
ḳhushiyoñ kā balīdān kiyā hai
mujh par ik ehsān kiyā hai
pyari ammi tu ne mujh ko
paida karke mujh par ek ehsan kiya hai
pyar diya hai
main roya to wyakul ho kar
tu ne apna sab kuchh chhoDa
jag jag kar raaten kaTin
khana-pina bhul gai tu
meri ek muskan pe tu ne phul bikhere
aur dukh sare bhul gai tu
lekin main anjaan sa baalak
teri pit ko jaan na paya
mamta ko pahchan na paya
jab main kuchh kuchh jaan gaya hun
tere har upkar ka ammi
baal baal par qarz hai mere
jis se main to aaj talak hi
tujh ko kho kar soch raha hun
jiwan mein tu ne ai ammi
moh mein rah kar apne hamesha
KHushiyon ka balidan kiya hai
mujh par ek ehsan kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.