mah-ru
tū darīchoñ se aatī huī raushnī
māh-rū
terī nazmeñ savālāt kartī huiiñ
rang bhartī huī
terī āvāz merī samā'at meñ ras gholtī
jaise barbat koī god meñ rakh ke fitrat meñ khoyā huā
giit gaate hue
aur bhaTke hue un parindoñ ko rasta dikhāte hue
shaam ke baa'd ḳhemoñ meñ jaltā diyā
tū haqīqat koī
DhūñDne meñ jise ik zamāna lage
terā ehsās āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kā jhurmuT
jinheñ dekh kar ek murda badan saañs lene lage
tū samundar hai
jis ke liye saare bhaTke hue dariyā apne kināroñ se bāhar tirī justujū meñ ravāñ
ek hairat-kada
terā chehra vo chehra
jise dekh kar kitnī sadiyoñ se lipTe hue gard se aa.ine saaf hone lage
saaz bajne lage
vajd meñ qāfile
raah bhūle hue saare milne lageñ
jin ko tū mil gayā
ḳhud se milne lage
raqs karne lage
māh-rū
tu darichon se aati hui raushni
mah-ru
teri nazmen sawalat karti huin
rang bharti hui
teri aawaz meri sama'at mein ras gholti
jaise barbat koi god mein rakh ke fitrat mein khoya hua
git gate hue
aur bhaTke hue un parindon ko rasta dikhate hue
sham ke ba'd KHemon mein jalta diya
tu haqiqat koi
DhunDne mein jise ek zamana lage
tera ehsas aankhon mein KHwabon ka jhurmuT
jinhen dekh kar ek murda badan sans lene lage
tu samundar hai
jis ke liye sare bhaTke hue dariya apne kinaron se bahar teri justuju mein rawan
ek hairat-kada
tera chehra wo chehra
jise dekh kar kitni sadiyon se lipTe hue gard se aaine saf hone lage
saz bajne lage
wajd mein qafile
rah bhule hue sare milne lagen
jin ko tu mil gaya
KHud se milne lage
raqs karne lage
mah-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.