mahaul banane wale jumle
aadhā cigarette pī kar pheñk diyā maiñ ne
us ke hisse kā
jis ke ġham meñ suntā huuñ
duniyā ko maiñ ne chhoḌ diyā
aur maiñ ḳhāmoshī se baiThā soch rahā huuñ
ye duniyā bhī kaun sī duniyā meñ jiitī hai
duniyā chhoḌ dī maiñ ne
aur ḳhud mujh ko ye mā'lūm nahīñ hai
ye bhī sunñe meñ aayā hai
jab se us kī maut huī hai
gum-sum huuñ maiñ
duur ḳhalā meñ jaane kyā taktā rahtā huuñ
duur ḳhalā meñ taknā kyā achchhā jumla hai
mujh ko bhī achchhā lagtā hai
kahne vāloñ ko to aur ziyāda achchhā lagtā hogā
jhuuT hai sab kuchh
lekin kyoñ tardīd karūñ maiñ
yahī to vo jumle haiñ jo māhaul banā.e rakhte haiñ kuchh
varna sachchī baat to ye hai
koshish kar ke āñkhoñ ko nam rakhnā
shave baḌhā.e rakhnā
ye bhī ek tarah kā sukh hai
mujhe to us kī maut se baḌh kar
us ke ġham kī maut kā dukh hai
aadha cigarette pi kar phenk diya main ne
us ke hisse ka
jis ke gham mein sunta hun
duniya ko main ne chhoD diya
aur main KHamoshi se baiTha soch raha hun
ye duniya bhi kaun si duniya mein jiti hai
duniya chhoD di main ne
aur KHud mujh ko ye ma'lum nahin hai
ye bhi sunne mein aaya hai
jab se us ki maut hui hai
gum-sum hun main
dur KHala mein jaane kya takta rahta hun
dur KHala mein takna kya achchha jumla hai
mujh ko bhi achchha lagta hai
kahne walon ko to aur ziyaada achchha lagta hoga
jhuT hai sab kuchh
lekin kyon tardid karun main
yahi to wo jumle hain jo mahaul banae rakhte hain kuchh
warna sachchi baat to ye hai
koshish kar ke aankhon ko nam rakhna
shawe baDhae rakhna
ye bhi ek tarah ka sukh hai
mujhe to us ki maut se baDh kar
us ke gham ki maut ka dukh hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 157)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.