makhan-chor
maiñ nā mākhan khāyo mayyā maiñ nā mākhan-chor
mullā khā ga.e panDit khā ga.e khā ga.e rishvat-ḳhor
kahne ko āzād haiñ ham par kaisī ye āzādī
har kuTiyā nirdhan kā bandhan har nagrī barbādī
bhūke des meñ har din baḌhtī bhūkoñ kī ābādī
maiñ nā mākhan khāyo mayyā maiñ nā mākhan-chor
mullā khā ga.e panDit khā ga.e khā ga.e rishvat-ḳhor
chorī Daaka ḳhūn-ḳharāba nafrat aur fasād
jab bhī netā bhāshan deveñ phaile jātī-vād
gautam aur nānak kī shikshā kis ne rakkhī yaad
maiñ nā mākhan khāyo mayyā maiñ nā mākhan-chor
mullā khā ga.e panDit khā ga.e khā ga.e rishvat-ḳhor
aprādhī-jan kar ga.e hāsil aaj samājī izzat
har afsar paise kā lobhī daftar daftar rishvat
maano dharam ke desh meñ baḌhtī mānavtā se nafrat
maiñ nā mākhan khāyo mayyā maiñ nā mākhan-chor
mullā khā ga.e panDit khā ga.e khā ga.e rishvat-ḳhor
main na makhan khayo mayya main na makhan-chor
mulla kha gae panDit kha gae kha gae rishwat-KHor
kahne ko aazad hain hum par kaisi ye aazadi
har kuTiya nirdhan ka bandhan har nagri barbaadi
bhuke des mein har din baDhti bhukon ki aabaadi
main na makhan khayo mayya main na makhan-chor
mulla kha gae panDit kha gae kha gae rishwat-KHor
chori Daka KHun-KHaraba nafrat aur fasad
jab bhi neta bhashan dewen phaile jati-wad
gautam aur nanak ki shiksha kis ne rakkhi yaad
main na makhan khayo mayya main na makhan-chor
mulla kha gae panDit kha gae kha gae rishwat-KHor
apradhi-jan kar gae hasil aaj samaji izzat
har afsar paise ka lobhi daftar daftar rishwat
mano dharam ke desh mein baDhti manawta se nafrat
main na makhan khayo mayya main na makhan-chor
mulla kha gae panDit kha gae kha gae rishwat-KHor
- Book : mauj-e-aariz (Pg. 87)
- Author : sabir dutt
- Publication : saahir publishing house (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.