malik ka ehsan
duniyā bhar meñ insānoñ ke jiine kā sāmān huā hai
jānvaroñ kā mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai
bhaiñseñ goyā duudh kī kāneñ kār-āmad haiñ ghoḌe bail
lamha bhar ko bhī aayā kab bechāroñ ke dil meñ mail
kuttā apnī khetī baaḌī aur ghar kā darbān huā hai
jānvaroñ kā mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai
uuñT azal se insānoñ ko sahrā sahrā paar karā.īñ
hāthī saare jangal jangal bhārī bhārī bojh uThā.eñ
circus meñ bhīgī billī sā jangal kā sultān huā hai
jānvaroñ kā mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai
reindēr jī shaam savere barf meñ gaaḌī khīñch rahe haiñ
bail hamāre sadiyoñ se ye khet hamāre sīñch rahe haiñ
jānvar aise aa.e mayassar mālik kā ehsān huā hai
jānvaroñ kā mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai
bhālū chham-chham naach dikhā.e billī apnā dil bahlā.e
mujrim kī bū sūñgh ke kuttā ghar baiThe insāf dilā.e
ghoḌe par sasurāl meñ jaanā dūlhe ko āsān huā hai
jānvaroñ kā mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai
duniya bhar mein insanon ke jine ka saman hua hai
jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai
bhainsen goya dudh ki kanen kar-amad hain ghoDe bail
lamha bhar ko bhi aaya kab bechaaron ke dil mein mail
kutta apni kheti baDi aur ghar ka darban hua hai
jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai
unT azal se insanon ko sahra sahra par karain
hathi sare jangal jangal bhaari bhaari bojh uThaen
circus mein bhigi billi sa jangal ka sultan hua hai
jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai
reindeer ji sham sawere barf mein gaDi khinch rahe hain
bail hamare sadiyon se ye khet hamare sinch rahe hain
jaanwar aise aae mayassar malik ka ehsan hua hai
jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai
bhaalu chham-chham nach dikhae billi apna dil bahlae
mujrim ki bu sungh ke kutta ghar baiThe insaf dilae
ghoDe par sasural mein jaana dulhe ko aasan hua hai
jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.