man ki KHidmat
baḌe chochaloñ se mujhe maañ ne paalā
kiyā pyaar chūmā hañsāyā uchhālā
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
huī sub.h chiḌiyoñ ne jab ġhul machāyā
maiñ uTh baiThī muñh haath merā dhulāyā
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
pilāyā kabhī duudh happā khilāyā
kabhī mīThī lorī se mujh ko sulāyā
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
agar mujh ko taklīf pahuñchī zarā sī
lagā kar gale raat āñkhoñ meñ kaaTī
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
girī maiñ to us ne uThā kar biThāyā
pakaḌ kar kabhī haath chalnā sikhāyā
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
jo bāteñ lagī karne maktab meñ bhejā
savere pakā kar khilāyā parāThā
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
pahanñe ko kapḌe diye achchhe achchhe
khilaune bhī guḌiyāñ bhī mañgvā.īñ us ne
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
mire vāste maañ ne mehnat uThā.ī
mashaqqat uThā.ī musībat uThā.ī
baḌī ho ke maañ kī maiñ ḳhidmat karūñgī
baDe chochalon se mujhe man ne pala
kiya pyar chuma hansaya uchhaala
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
hui subh chiDiyon ne jab ghul machaya
main uTh baiThi munh hath mera dhulaya
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
pilaya kabhi dudh happa khilaya
kabhi miThi lori se mujh ko sulaya
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
agar mujh ko taklif pahunchi zara si
laga kar gale raat aankhon mein kaTi
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
giri main to us ne uTha kar biThaya
pakaD kar kabhi hath chalna sikhaya
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
jo baaten lagi karne maktab mein bheja
sawere paka kar khilaya paraTha
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
pahanne ko kapDe diye achchhe achchhe
khilaune bhi guDiyan bhi mangwain us ne
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
mere waste man ne mehnat uThai
mashaqqat uThai musibat uThai
baDi ho ke man ki main KHidmat karungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.