man ki nasihat
ek chuhiyā ye bolī beTe se
tujh se āñkheñ mirī huiiñ raushan
ham yahāñ ke purāne sākin haiñ
ka.ī pushtoñ kā guzrā hai bachpan
vo jo is ghar kā hai baḌā dālān
us meñ rahte haiñ khāne ke bartan
paas ik Tokarī bhī rahtī hai
us meñ haiñ aalū gobhī aur baigan
ne.amateñ sau haiñ tere khāne ko
lekin ai nūr-e-chashm-o-jān-e-man
usī ghar ke hai ek kone meñ
taar kī jāliyoñ kā ek maskan
log use chūhe-dān kahte haiñ
hai ye chuhiyoñ kī qaum kā dushman
chāhe us meñ hoñ ne.amateñ lākhoñ
haiñ vo sab terī maut ke kāran
tere jitne buzurg guzre haiñ
hazm unheñ kar gayā yahī dushman
tū agar us ke paas jā pahuñchā
ho ga.ī terī jaañ ko uljhan
rahnā har vaqt chūhe-dāñ se duur
aur phirnā har ek samt magan
chūhe kā bachcha baaz rah na sakā
kuchh to lālach thā aur kuchh bachpan
raat ko us ke paas aa hī gayā
ek luqme kī thī jo us ko lagan
sar baḌhāte hī lag gayā khaTkā
phañs ga.ī chūhe-dān meñ gardan
ek chuhiya ye boli beTe se
tujh se aankhen meri huin raushan
hum yahan ke purane sakin hain
kai pushton ka guzra hai bachpan
wo jo is ghar ka hai baDa dalan
us mein rahte hain khane ke bartan
pas ek Tokari bhi rahti hai
us mein hain aalu gobhi aur baigan
neamaten sau hain tere khane ko
lekin ai nur-e-chashm-o-jaan-e-man
usi ghar ke hai ek kone mein
tar ki jaliyon ka ek maskan
log use chuhe-dan kahte hain
hai ye chuhiyon ki qaum ka dushman
chahe us mein hon neamaten lakhon
hain wo sab teri maut ke karan
tere jitne buzurg guzre hain
hazm unhen kar gaya yahi dushman
tu agar us ke pas ja pahuncha
ho gai teri jaan ko uljhan
rahna har waqt chuhe-dan se dur
aur phirna har ek samt magan
chuhe ka bachcha baz rah na saka
kuchh to lalach tha aur kuchh bachpan
raat ko us ke pas aa hi gaya
ek luqme ki thi jo us ko lagan
sar baDhate hi lag gaya khaTka
phans gai chuhe-dan mein gardan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.