maañ
faqat ik lafz hai vaise to lekin
magar maañ kyā hai
mamtā kā samundar
taqaddus pyaar kī bahtī nadī hai
vafā īsār qurbānī kā jiitā jāgtā paikar
vajūd is kā himāla se bhī ūñchā
vajūd is kā hai rahmat
vajūd is kā hai rahmat
saroñ pe is kā saaya hazāroñ ne.amatoñ kī ek ne.amat
jab bhī lab is ke khule bigḌī banā de
duā is kī musībat ko Talā de
pukāre jab lo saarā
arsh hilā de
vajūd
is kā sarāpā āfiyat hai
ḳhudā ne is kī
yuuñ azmat baḌhā.ī
hai is ke paañv ke nīche hī jannat
man
faqat ek lafz hai waise to lekin
magar man kya hai
mamta ka samundar
taqaddus pyar ki bahti nadi hai
wafa isar qurbani ka jita jagta paikar
wajud is ka himala se bhi uncha
wajud is ka hai rahmat
wajud is ka hai rahmat
saron pe is ka saya hazaron neamaton ki ek neamat
jab bhi lab is ke khule bigDi bana de
dua is ki musibat ko Tala de
pukare jab lo sara
arsh hila de
wajud
is ka sarapa aafiyat hai
KHuda ne is ki
yun azmat baDhai
hai is ke panw ke niche hi jannat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.