man
sukūñ ke phuul har ik dil meñ maañ khilātī hai
vo ujḌe ghar ko bhī rashk-e-jināñ banātī hai
jahāñ kahīñ bhī vo rakhtī hai apne paak qadam
vahīñ se ḳhuld ko ik raah sīdhī jaatī hai
ḳhudā bhī us ko girātā hai qa.ar-e-pastī meñ
nazar se apnī jise pyārī maañ girātī hai
ḳhushī meñ maañ kī jo ThanDak hai us kā kyā kahnā
vo qahr-e-rab ko bhī ik aan meñ bujhātī hai
zabān khultī hai jaise hī nanhe bachche kī
baḌe hī chaah se kalima use paḌhātī hai
jo bachche raat meñ ho jaate haiñ kabhī bedār
unheñ vo niiñd kī chādar ma.an uḌhātī hai
vo parvarish hī nahīñ kartī apne bachchoñ kī
unheñ vo sāhib-e-kirdār bhī banātī hai
zarā bhī khultī hai khiḌkī jo maañ kī yādoñ kī
to dil meñ ḳhuld se sīdhe bahār aatī hai
agar ho chashm-e-tasavvur meñ maañ samā.ī huī
to jitnī duur ho utnī vo yaad aatī hai
mire vajūd meñ shāmil hai maañ kā bahr-e-karam
mirī hayāt kī kashtī vahī chalātī hai
jo maañ kī ḳhidmat-e-ālī meñ pesh hotā huuñ
to māmtā ke hasīñ farsh par biThātī hai
shafīq maañ kī maiñ ḳhidmat koī karūñ na karūñ
vo mere haq meñ duā.eñ kiye hī jaatī hai
qubūliyat meñ koī der bhī nahīñ lagtī
duā jo arsh pe 'maqsūd' maañ kī jaatī hai
sukun ke phul har ek dil mein man khilati hai
wo ujDe ghar ko bhi rashk-e-jinan banati hai
jahan kahin bhi wo rakhti hai apne pak qadam
wahin se KHuld ko ek rah sidhi jati hai
KHuda bhi us ko giraata hai qar-e-pasti mein
nazar se apni jise pyari man giraati hai
KHushi mein man ki jo ThanDak hai us ka kya kahna
wo qahr-e-rab ko bhi ek aan mein bujhati hai
zaban khulti hai jaise hi nanhe bachche ki
baDe hi chah se kalima use paDhati hai
jo bachche raat mein ho jate hain kabhi bedar
unhen wo nind ki chadar man uDhati hai
wo parwarish hi nahin karti apne bachchon ki
unhen wo sahib-e-kirdar bhi banati hai
zara bhi khulti hai khiDki jo man ki yaadon ki
to dil mein KHuld se sidhe bahaar aati hai
agar ho chashm-e-tasawwur mein man samai hui
to jitni dur ho utni wo yaad aati hai
mere wajud mein shamil hai man ka bahr-e-karam
meri hayat ki kashti wahi chalati hai
jo man ki KHidmat-e-ali mein pesh hota hun
to mamta ke hasin farsh par biThati hai
shafiq man ki main KHidmat koi karun na karun
wo mere haq mein duaen kiye hi jati hai
qubuliyat mein koi der bhi nahin lagti
dua jo arsh pe 'maqsud' man ki jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.