manus ajnabi
mere sāmne baiThā ajnabī mujhe dekhtā thā
shāyad koī ābla-pā thā
merī āñkhoñ se ho kar guzrā
shāyad koī dariyā thā
koī sarāb thā
sabhī manzaroñ se ojhal
traffic ke dhueñ meñ gum hotā huā koī hujūm thā
jaise koī pur-sukūn sā
amāvas rātoñ kā dard dekhte dekhte
apnī sūrat badalne lagā thā
maiñ kahne hī vaalī thī ki
mujhe tum chāhte ho umr bhar ke liye
aur itne meñ mere sayyāre ne
us ke sayyāre meñ apnī muddat puurī kī
aur ek alien force kī tarah
kisī aur duniyā kī or mujhe uḌā le gayā
maiñ ne kahā thā nā
vaqt phisal jaatā hai hāthoñ se
javāñ rāteñ zamānoñ kī āġhosh meñ
ik din thak kar so jaatī haiñ
mere samne baiTha ajnabi mujhe dekhta tha
shayad koi aabla-pa tha
meri aankhon se ho kar guzra
shayad koi dariya tha
koi sarab tha
sabhi manzaron se ojhal
traffic ke dhuen mein gum hota hua koi hujum tha
jaise koi pur-sukun sa
amawas raaton ka dard dekhte dekhte
apni surat badalne laga tha
main kahne hi wali thi ki
mujhe tum chahte ho umr bhar ke liye
aur itne mein mere sayyare ne
us ke sayyare mein apni muddat puri ki
aur ek alien force ki tarah
kisi aur duniya ki or mujhe uDa le gaya
main ne kaha tha na
waqt phisal jata hai hathon se
jawan raaten zamanon ki aaghosh mein
ek din thak kar so jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.