margila aur tum aur main
koī phūloñ bharā jangal thā
bhārī ḳhushbuoñ vaalā
kisī vaadī meñ ThanDī sabz rangat gir rahī thī
dil bhī gahrā.ī meñ girtā thā
ghane pattoñ ke ghere-dār gahre sabz bādal the
jahāñ tanhā kiran ne ḳhud ko hī rasta banāyā
ḳhud hī us par saat rangā jism le kar chal paḌī
āñkhoñ pe utrī putliyoñ ke paar pahuñchī
to vahāñ maiñ dekh paayā tum ko aur ḳhud ko
hamārā rang dhānī thā
jamāl-e-rang naġhma-rez thā
ham sun rahe the
vo ajab rangoñ bharā sapnā thā
jis meñ chal rahe the ham
havā chaltī to mere dil se koī baat le letī
tumhāre dil meñ rakh detī
tumhārī aañkh se jo rang uḌtā
vo mirī āñkhoñ meñ aa jaatā
vo ik phūloñ bharā sapnā thā
jis meñ chal rahe the ham
magar ab dekhte haiñ
chaar jānib dhuup meñ jaltā zamāna hai
zamāne kī bahut be-rang saḌkeñ haiñ
ham un par bhāgte haiñ aur ḳhud ko mil nahīñ paate
na-jāne tum kahāñ gum ho
na-jāne maiñ kahāñ gum huuñ
koi phulon bhara jangal tha
bhaari KHushbuon wala
kisi wadi mein ThanDi sabz rangat gir rahi thi
dil bhi gahrai mein girta tha
ghane patton ke ghere-dar gahre sabz baadal the
jahan tanha kiran ne KHud ko hi rasta banaya
KHud hi us par sat ranga jism le kar chal paDi
aankhon pe utri putliyon ke par pahunchi
to wahan main dekh paya tum ko aur KHud ko
hamara rang dhani tha
jamal-e-rang naghma-rez tha
hum sun rahe the
wo ajab rangon bhara sapna tha
jis mein chal rahe the hum
hawa chalti to mere dil se koi baat le leti
tumhaare dil mein rakh deti
tumhaari aankh se jo rang uDta
wo meri aankhon mein aa jata
wo ek phulon bhara sapna tha
jis mein chal rahe the hum
magar ab dekhte hain
chaar jaanib dhup mein jalta zamana hai
zamane ki bahut be-rang saDken hain
hum un par bhagte hain aur KHud ko mil nahin pate
na-jaane tum kahan gum ho
na-jaane main kahan gum hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.