mazarat
koī nazm kaise kaheñ ki ham
na charāġh haiñ
na misāl-e-harf-e-gulāb haiñ
na ḳhayāl haiñ
na kisī kī aañkh kā ḳhvāb haiñ
kisī gum-shuda sī vafāoñ kī
kisī shaam meñ
jo bichhaḌ ga.e
to bichhaḌne vāloñ kī yaad meñ
kahīñ ret haiñ
kahīñ ashk-e-ġham kā ġhubār haiñ
vo jo dasht
hijr kā hai kahīñ
isī dasht-e-shām judā.ī ke
ye jo daaġh haiñ
tirī yaad ke
tire ba.ad ke
koī nazm kaise kaheñ ki ham
na charāġh haiñ
na misāl-e-harf-e-gulāb haiñ
na ḳhayāl haiñ
na kisī kī aañkh kā ḳhvāb haiñ
ye jo shahr hai
to ye shahr bhī
saf-e-dushmanāñ se milā huā
ye jo log haiñ
to ye log bhī
kahāñ jānte haiñ ki kyā huā
koī nazm kaise kahīñ
ki ham
ye fazā hī aisī nahīñ rahī
jo charāġh koī jalā.eñ ham
to havā hī aisī
nahīñ rahī
tahī-e-fikr aise hue haiñ ham
tire ḳhāl-o-ḳhad kā bayāñ bhī ab
na hamāre dast-e-hunar meñ thā
na hamāre dast-e-hunar meñ hai
koi nazm kaise kahen ki hum
na charagh hain
na misal-e-harf-e-gulab hain
na KHayal hain
na kisi ki aankh ka KHwab hain
kisi gum-shuda si wafaon ki
kisi sham mein
jo bichhaD gae
to bichhaDne walon ki yaad mein
kahin ret hain
kahin ashk-e-gham ka ghubar hain
wo jo dasht
hijr ka hai kahin
isi dasht-e-sham judai ke
ye jo dagh hain
teri yaad ke
tere baad ke
koi nazm kaise kahen ki hum
na charagh hain
na misal-e-harf-e-gulab hain
na KHayal hain
na kisi ki aankh ka KHwab hain
ye jo shahr hai
to ye shahr bhi
saf-e-dushmanan se mila hua
ye jo log hain
to ye log bhi
kahan jaante hain ki kya hua
koi nazm kaise kahin
ki hum
ye faza hi aisi nahin rahi
jo charagh koi jalaen hum
to hawa hi aisi
nahin rahi
tahi-e-fikr aise hue hain hum
tere KHal-o-KHad ka bayan bhi ab
na hamare dast-e-hunar mein tha
na hamare dast-e-hunar mein hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 506)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.