mazi se ek sawal
maiñ sochtā huuñ ki apne maazī se
ek din ye savāl pūchhūñ
kahāñ ga.iiñ vo hikāyateñ sab
kahāñ ga.e mere ḳhvāb saare
kahāñ ga.e vo hasīn lamhe
vo ziist ke dil-nashīñ sahāre
ki ab to bas
do nahīf kāñdhoñ ko
donoñ jānib se khīñchtī huī tanābeñ
raqīq satreñ sapāT safhe
boriyat se bharī kitābeñ
na shāh-rāhoñ pe koī halchal
na dil meñ armāñ na sar meñ saudā
na koī ḳhushbū hayāt-āgīñ
na rang koī umīd-afzā
na be-tavāzun diloñ kī dhaḌkan
na chāñdnī meñ koī chubhan sī
na aag barsātā koī sāvan
maiñ sochtā huuñ ki apne maazī se
ek din ye savāl pūchhūñ
ki maut aa.ī thī kab use
aur kahāñ hai mire junūn kā madfan
main sochta hun ki apne mazi se
ek din ye sawal puchhun
kahan gain wo hikayaten sab
kahan gae mere KHwab sare
kahan gae wo hasin lamhe
wo zist ke dil-nashin sahaare
ki ab to bas
do nahif kandhon ko
donon jaanib se khinchti hui tanaben
raqiq satren sapaT safhe
boriyat se bhari kitaben
na shah-rahon pe koi halchal
na dil mein arman na sar mein sauda
na koi KHushbu hayat-agin
na rang koi umid-afza
na be-tawazun dilon ki dhaDkan
na chandni mein koi chubhan si
na aag barsata koi sawan
main sochta hun ki apne mazi se
ek din ye sawal puchhun
ki maut aai thi kab use
aur kahan hai mere junun ka madfan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.