madari lauT aaya
madārī nāchtā hai
ki us kī DugDugī kī lai madhur hai
vo hamelin shahr kā jādūgar nahīñ
magar ma.alūm hai us ko
ki us ke shahr meñ
kahīñ chūhe nahīñ bandar bhare haiñ
purānī bāñsurī kī dhun
unheñ achchhī nahīñ lagtī
so us kī DugDugī par
nikal aate haiñ jhunḌoñ meñ
sharārat un kī fitrat hai
madārī jāntā hai
shāhāna faqīrī kā labāda
use hai ḳhuub bhātā
ajab andāz meñ apnī
vo DugDugī kī lai baḌhātā hai
bandar nāchte haiñ jhūmte haiñ jānte haiñ
vo insānoñ kī bastī ko
bhale vīrān hī kar deñ
madārī jab talak hai saath un ke
nadī meñ Duub marne kā koī ḳhatra nahīñ hai
madari nachta hai
ki us ki DugDugi ki lai madhur hai
wo hamelin shahr ka jadugar nahin
magar malum hai us ko
ki us ke shahr mein
kahin chuhe nahin bandar bhare hain
purani bansuri ki dhun
unhen achchhi nahin lagti
so us ki DugDugi par
nikal aate hain jhunDon mein
shararat un ki fitrat hai
madari jaanta hai
shahana faqiri ka labaada
use hai KHub bhata
ajab andaz mein apni
wo DugDugi ki lai baDhata hai
bandar nachte hain jhumte hain jaante hain
wo insanon ki basti ko
bhale viran hi kar den
madari jab talak hai sath un ke
nadi mein Dub marne ka koi KHatra nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.