madari
maiñ laayā huuñ bhālū bandar
zahrīle sāñpoñ kī piTārī
maiñ huuñ ek madārī
khel dikhātā pyārā pyārā
merā har kartab hai nyārā
maiñ bachchoñ kī aañkh kā taarā
ghuum rahā galiyāñ chaubārā
dekh rahī hai duniyā saarī
maiñ huuñ ek madārī
zahrīle sāñpoñ kī piTārī
nāche Dholak taal pe bhālū
bandar baiThā khaa.e aalū
do paise meñ khel hai chālū
aao anjum aao shālū
koī ticket nahīñ hai bhārī
maiñ huuñ ek madārī
maiñ laayā huuñ bhālū bandar
zahrīle sāñpoñ kī piTārī
madhur madhur sī biin bajā kar
rañg birañge saañp dikhā kar
sab bachchoñ pe rañg jamā kar
ik totā jaadū se banā kar
dikhlā.ūñ maiñ apnī hushyārī
maiñ huuñ ek madārī
maiñ laayā huuñ bhālū bandar
zahrīle sāñpoñ kī piTārī
main laya hun bhaalu bandar
zahrile sanpon ki piTari
main hun ek madari
khel dikhata pyara pyara
mera har kartab hai nyara
main bachchon ki aankh ka tara
ghum raha galiyan chaubara
dekh rahi hai duniya sari
main hun ek madari
zahrile sanpon ki piTari
nache Dholak tal pe bhaalu
bandar baiTha khae aalu
do paise mein khel hai chaalu
aao anjum aao shaalu
koi ticket nahin hai bhaari
main hun ek madari
main laya hun bhaalu bandar
zahrile sanpon ki piTari
madhur madhur si bin baja kar
rang birange sanp dikha kar
sab bachchon pe rang jama kar
ek tota jadu se bana kar
dikhlaun main apni hushyari
main hun ek madari
main laya hun bhaalu bandar
zahrile sanpon ki piTari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.