madh
Interesting Fact
(The late Hussain Shaheed Suhrawardi had advocated in the Rawalpindi "conspiracy" case on behalf of the accused) This letter of thanks was presented to him at the end of the trial.
(1)
kas tarah bayāñ ho tirā pairā-e-taqrīr
goyā sar-e-bātil pe chamakne lagī shamshīr
vo zor hai ik lafz idhar nutq se niklā
vaañ sīna-e-aġhyār meñ paivast hue tiir
garmī bhī hai ThanDak bhī ravānī bhī sakūñ bhī
tāsīr kā kyā kahiye hai tāsīr hī tāsīr
e.ajāz usī kā hai ki arbāb-e-sitam kī
ab tak koī anjām ko pahuñchī nahīñ tadbīr
atrāf-e-vatan meñ huā haq baat kā shohra
har ek jagah makr-o-riyā kī huī tash.hīr
raushan hue ummīd se ruḳh ahl-e-vafā ke
peshānī-e-ādā pe siyāhī huī tahrīr
(2)
hurriyat-e-ādam kī rah-e-saḳht ke rah-gīr
ḳhātir meñ nahīñ laate ḳhayāl-e-dam-e-ta.azīr
kuchh nañg nahīñ ranj-e-asīrī ki purānā
mardān-e-safā-kesh se hai rishtā-e-zanjīr
kab dabdaba-e-jabr se dabte haiñ ki jin ke
īmān o yaqīñ dil meñ kiye rahte haiñ tanvīr
ma.alūm hai un ko ki rihā hogī kasī din
zālim ke girāñ haath se mazlūm kī taqdīr
āḳhir ko sar-afrāz huā karte haiñ ahrār
āḳhir ko girā kartī hai har jaur kī ta.amīr
har daur meñ sar hote haiñ qasr-e-jam-o-dārā
har ahd meñ dīvār-e-sitam hotī hai tasḳhīr
har daur meñ mal.ūn shaqāvat hai 'shimar' kī
har ahd meñ mas.ūd hai qurbānī-e-shabbīr
(3)
kartā hai qalam apne lab o nutq kī tathīr
pahuñchī hai sar-e-haraf-e-duā ab mirī tahrīr
har kaam meñ barkat ho har ik qaul meñ quvvat
har gaam pe ho manzil-e-maqsūd qadam-gīr
har lahza tirā tāle-e-iqbāl sivā ho
har lahza madad-gār ho tadbīr kī taqdīr
har baat ho maqbūl, har ik bol ho baalā
kuchh aur bhī raunaq meñ baḌhe shola-e-taqrīr
har din ho tirā lutf-e-zabāñ aur ziyāda
allāh kare zor-e-bayāñ aur ziyāda
(1)
kas tarah bayan ho tera paira-e-taqrir
goya sar-e-baatil pe chamakne lagi shamshir
wo zor hai ek lafz idhar nutq se nikla
wan sina-e-aghyar mein paiwast hue tir
garmi bhi hai ThanDak bhi rawani bhi sakun bhi
tasir ka kya kahiye hai tasir hi tasir
eajaz usi ka hai ki arbab-e-sitam ki
ab tak koi anjam ko pahunchi nahin tadbir
atraf-e-watan mein hua haq baat ka shohra
har ek jagah makr-o-riya ki hui tashhir
raushan hue ummid se ruKH ahl-e-wafa ke
peshani-e-ada pe siyahi hui tahrir
(2)
hurriyat-e-adam ki rah-e-saKHt ke rah-gir
KHatir mein nahin late KHayal-e-dam-e-tazir
kuchh nang nahin ranj-e-asiri ki purana
mardan-e-safa-kesh se hai rishta-e-zanjir
kab dabdaba-e-jabr se dabte hain ki jin ke
iman o yaqin dil mein kiye rahte hain tanwir
malum hai un ko ki riha hogi kasi din
zalim ke giran hath se mazlum ki taqdir
aaKHir ko sar-afraaz hua karte hain ahrar
aaKHir ko gira karti hai har jaur ki tamir
har daur mein sar hote hain qasr-e-jam-o-dara
har ahd mein diwar-e-sitam hoti hai tasKHir
har daur mein malun shaqawat hai 'shimar' ki
har ahd mein masud hai qurbani-e-shabbir
(3)
karta hai qalam apne lab o nutq ki tathir
pahunchi hai sar-e-haraf-e-dua ab meri tahrir
har kaam mein barkat ho har ek qaul mein quwwat
har gam pe ho manzil-e-maqsud qadam-gir
har lahza tera tale-e-iqbaal siwa ho
har lahza madad-gar ho tadbir ki taqdir
har baat ho maqbul, har ek bol ho baala
kuchh aur bhi raunaq mein baDhe shola-e-taqrir
har din ho tera lutf-e-zaban aur ziyaada
allah kare zor-e-bayan aur ziyaada
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 570)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.