magar-machh ke aansu
sunte haiñ yaad musībat meñ ḳhudā aatā hai
aasrā ik yahī majbūr kī taqdīr meñ rah jaatā hai
''khol do band kalīsāoñ ke dar khol bhī do
maanā mānūs nahīñ haath duāoñ se duā.eñ māñgeñ
mamlikat par kahīñ ḳhurshīd na ho jaa.e ġhurūb
hukm de do ki sabhī apne ḳhudāoñ se duā.eñ māñgeñ''
jī pe ban jaa.e to zillat bhī uThā lete haiñ
sunte haiñ baap musībat meñ gad.he ko bhī banā lete haiñ
''nāg hai apnā muāvin to koī baat nahīñ
kaam lenā hai hameñ naag ḳhazāne pe biThā lo apne
shahad kā ghūñT samajh kar sam-e-qātil pī jaao
kisī qīmat kisī ujrat pe use saath milā milā lo apne''
saarā dhan jaatā hai to nisf luTā dete haiñ
sunte haiñ bachche jo chīḳheñ unheñ afyūn khilā dete haiñ
''sab ko baḳhsheñge masā.ib kī salāsil se najāt
jañg laḌte haiñ sadāqat kii, musāvāt kī elaan karo
apnī man-mānī hī āḳhir meñ kareñge ab to
dahr ko va.ada-e-pur-kaif se minnat-kash-e-ehsān karo
naag Dastā hai, use duudh pilāo kitnā
sūkhī bairī se kabhī bair nahīñ jhaḌte, hilāo kitnā''
''ahd-e-ālām bhī ma.adūm, ḳhudā bhī ma.adūm
koī ḳhadsha nahīñ phir se sitam-o-jaur ko arzāñ kar lo
fat.h kā jashn manānā hai magar dhuum ke saath
apne ghar husn se yā ḳhuun kī būñdoñ se charāġhāñ kar lo
apne mahkūmoñ kī hastī bhī koī hastī hai
ye to va.adoñ pe bhī jī sakte haiñ un se na.e paimāñ kar lo''
tīrgī baḌhtī hai tūfān umaD aatā hai
badliyāñ chhā ke barastī haiñ falak phir se nikhar jaatā hai
sunte hain yaad musibat mein KHuda aata hai
aasra ek yahi majbur ki taqdir mein rah jata hai
khol do band kalisaon ke dar khol bhi do
mana manus nahin hath duaon se duaen mangen
mamlikat par kahin KHurshid na ho jae ghurub
hukm de do ki sabhi apne KHudaon se duaen mangen
ji pe ban jae to zillat bhi uTha lete hain
sunte hain bap musibat mein gadhe ko bhi bana lete hain
nag hai apna muawin to koi baat nahin
kaam lena hai hamein nag KHazane pe biTha lo apne
shahad ka ghunT samajh kar sam-e-qatil pi jao
kisi qimat kisi ujrat pe use sath mila mila lo apne
sara dhan jata hai to nisf luTa dete hain
sunte hain bachche jo chiKHen unhen afyun khila dete hain
sab ko baKHshenge masaib ki salasil se najat
jang laDte hain sadaqat ki, musawat ki elan karo
apni man-mani hi aaKHir mein karenge ab to
dahr ko wada-e-pur-kaif se minnat-kash-e-ehsan karo
nag Dasta hai, use dudh pilao kitna
sukhi bairi se kabhi bair nahin jhaDte, hilao kitna
ahd-e-alam bhi madum, KHuda bhi madum
koi KHadsha nahin phir se sitam-o-jaur ko arzan kar lo
fath ka jashn manana hai magar dhum ke sath
apne ghar husn se ya KHun ki bundon se charaghan kar lo
apne mahkumon ki hasti bhi koi hasti hai
ye to wadon pe bhi ji sakte hain un se nae paiman kar lo
tirgi baDhti hai tufan umaD aata hai
badliyan chha ke barasti hain falak phir se nikhar jata hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 317)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.