magarmachh ne mujhe nigla hua hai
magarmachh ne mujhe niglā huā hai
ik janīn-e-nā-tavāñ huuñ
jis ghaḌī rakkhī ga.ī buniyād merī
us ghaḌī se
tīrgī ke peT meñ huuñ
ḳhuun kī tarsīl
āñval se ġhizā
jaarī hai
kachchī aañkh ke aage tanī
mauhūm sī jhillī haTā kar
dekhtā huuñ!
dekhtā huuñ
garm gahre les ke dariyā meñ
kachhuoñ, meñDakoñ
jal-kekḌoñ ke pārachoñ meñ
ojhaḌī ke khurdure reshoñ meñ
sālim huuñ
nabūd o buud ke tārīk andeshoñ meñ
bāhar kaun hai
jo zaat ke is ḳhema-e-ḳhākistarī ke
peT ke phūle hue
gadle ġhubāre par
azal se kaan rakh kar sun rahā hai
sar paTaḳhne
haath paañv mārne
karvaT badalne kī sadā!
paanī kā gahrā shor hai
indar bhī bāhar bhī
barahna jism se chimTe hue haiñ
kaa.ī ke reze
mujhe phir se janam dene kī ḳhātir
zachgī ke ik kalāve ne
ugalne ke kisī va.ade ne
sadiyoñ se
mujhe jakḌā huā hai
maañ
magarmachh ne mujhe niglā huā hai!!
magarmachh ne mujhe nigla hua hai
ek janin-e-na-tawan hun
jis ghaDi rakkhi gai buniyaad meri
us ghaDi se
tirgi ke peT mein hun
KHun ki tarsil
aanwal se ghiza
jari hai
kachchi aankh ke aage tani
mauhum si jhilli haTa kar
dekhta hun!
dekhta hun
garm gahre les ke dariya mein
kachhuon, meinDakon
jal-kekDon ke parachon mein
ojhaDi ke khurdure reshon mein
salim hun
nabud o bud ke tarik andeshon mein
bahar kaun hai
jo zat ke is KHema-e-KHakistari ke
peT ke phule hue
gadle ghubare par
azal se kan rakh kar sun raha hai
sar paTaKHne
hath panw marne
karwaT badalne ki sada!
pani ka gahra shor hai
indar bhi bahar bhi
barahna jism se chimTe hue hain
kai ke reze
mujhe phir se janam dene ki KHatir
zachgi ke ek kalawe ne
ugalne ke kisi wade ne
sadiyon se
mujhe jakDa hua hai
man
magarmachh ne mujhe nigla hua hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.