maghwi
ek sub.h maiñ bedār huā to ḳhudā ġhā.eb thā
ye behad tashvīsh kī baat thī
mujhe us kī talāsh meñ nikalnā paḌā
bastī meñ us kā nishān nahīñ milā
maiñ ne ek khojī se rābta kiyā
us ne kharā dekh kar batāyā
ḳhudā ko burda-faroshoñ ne iġhvā kar liyā hai
maiñ ne police se rābta kiyā
thānedār ne ḳhudā kī report darj karne se inkār kar diyā
maiñ adālat meñ pesh huā
qaazī ne ḳhudā kā muqaddama sunñe se inkār kar diyā
maiñ ne darbār meñ hāzirī dī
hākim ne ḳhudā kā zikr sunñe se inkār kar diyā
chal chal kar maiñ rāsta bhuul gayā
bhaTakte bhaTakte ek begār camp jā pahuñchā
vahāñ rañg-birañgī Topiyoñ vaale iġhvā-kāroñ kī mahfil jamī thī
ḳhudā bhī maujūd thā
us ke pairoñ meñ beḌiyāñ paḌī thiiñ
lekin haath khule hue the
jin se vo
iġhvā-kāroñ ke mutālbe par
jannat ke bāġhoñ aur jahannum ke tandūroñ ke mālikāna huqūq kī filoñ par
be-takān dastaḳhat kiye jā rahā thā
ek subh main bedar hua to KHuda ghaeb tha
ye behad tashwish ki baat thi
mujhe us ki talash mein nikalna paDa
basti mein us ka nishan nahin mila
main ne ek khoji se rabta kiya
us ne khara dekh kar bataya
KHuda ko burda-faroshon ne ighwa kar liya hai
main ne police se rabta kiya
thanedar ne KHuda ki report darj karne se inkar kar diya
main adalat mein pesh hua
qazi ne KHuda ka muqaddama sunne se inkar kar diya
main ne darbar mein haziri di
hakim ne KHuda ka zikr sunne se inkar kar diya
chal chal kar main rasta bhul gaya
bhaTakte bhaTakte ek begar camp ja pahuncha
wahan rang-birangi Topiyon wale ighwa-karon ki mahfil jami thi
KHuda bhi maujud tha
us ke pairon mein beDiyan paDi thin
lekin hath khule hue the
jin se wo
ighwa-karon ke mutalbe par
jannat ke baghon aur jahannum ke tanduron ke malikana huquq ki filon par
be-takan dastaKHat kiye ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.