mahaarani laxmi-bai
gul-e-rā’nā-o-dil-āra thī lakshmī
latīf-o-jāzib-o-zebā thī lakshmī
ka.ī the ruup us ke jalve us ke
kabhī mariyam kabhī durgā thī lakshmī
vo paidā.ish hī se ik sūrmā thī
laḌakpan se niDar mahīlā thī lakshmī
sipāhī thī vo qudrat kī taraf se
mahāz-e-jang par yaktā thī lakshmī
mahārānī thī phir bhī kab sukūñ thā
giriftār-e-ġham-e-duniyā thī lakshmī
nichhāvar kardī apnī jaan us ne
vatan par aisī kuchh shaidā thī lakshmī
vo aurat thī sipāhī thī ki devī
na pūchho 'tāhira' uf kyā thī lakshmī
gul-e-ra’na-o-dil-ara thi lakshmi
latif-o-jazib-o-zeba thi lakshmi
kai the rup us ke jalwe us ke
kabhi mariyam kabhi durga thi lakshmi
wo paidaish hi se ek surma thi
laDakpan se niDar mahila thi lakshmi
sipahi thi wo qudrat ki taraf se
mahaz-e-jang par yakta thi lakshmi
mahaarani thi phir bhi kab sukun tha
giriftar-e-gham-e-duniya thi lakshmi
nichhawar kardi apni jaan us ne
watan par aisi kuchh shaida thi lakshmi
wo aurat thi sipahi thi ki dewi
na puchho 'tahira' uf kya thi lakshmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.