mahaz
meñ zālimoñ ke
ḳhilāf miTTī kā jism le kar khaḌā rahūñgā
zamīr jin ko bhī bechnā hai
vo bech deñ
maiñ nahīñ bikūñgā
aḌā rahūñgā
maiñ jāntā huuñ
ye bhiiḌ mujh ko to
ek lamhe meñ rauñd degī
to rauñd de phir
kise paḌī hai
zarā sī himmat bhī hai agar to
vo buzdilī se bahut baḌī hai
har ek dar
band ho bhī jaa.e
bhale darīchoñ ko ḳhauf aa.e
galī meñ koī bhī rah na jaa.e
maiñ zulm ke devtā kī āñkhoñ meñ aañkh Daale khaḌā rahūñgā
nahīñ haTūñgā
hai hukm-e-hākim
sab apne ghuTnoñ pe baiTh jaao
laboñ ko sī lo
nazar jhukā lo
zabāñ chabā lo
maiñ is se
inkār kar rahā huuñ
ye vaar chhoTā sahī
magar
maiñ khaḌā huuñ
yalġhār kar rahā huuñ
bhale
zabāñ par vo teġh rakh de
yā mere
pairoñ ko beḌiyāñ de
yā phir
salāḳhoñ se jism dāġhe
samāj
sotā rahe yā jaage
magar ye
kam to nahīñ jiyālo
ki log bhāge to ham na bhāge
mein zalimon ke
KHilaf miTTi ka jism le kar khaDa rahunga
zamir jin ko bhi bechna hai
wo bech den
main nahin bikunga
aDa rahunga
main jaanta hun
ye bhiD mujh ko to
ek lamhe mein raund degi
to raund de phir
kise paDi hai
zara si himmat bhi hai agar to
wo buzdili se bahut baDi hai
har ek dar
band ho bhi jae
bhale darichon ko KHauf aae
gali mein koi bhi rah na jae
main zulm ke dewta ki aankhon mein aankh Dale khaDa rahunga
nahin haTunga
hai hukm-e-hakim
sab apne ghuTnon pe baiTh jao
labon ko si lo
nazar jhuka lo
zaban chaba lo
main is se
inkar kar raha hun
ye war chhoTa sahi
magar
main khaDa hun
yalghaar kar raha hun
bhale
zaban par wo tegh rakh de
ya mere
pairon ko beDiyan de
ya phir
salaKHon se jism daghe
samaj
sota rahe ya jage
magar ye
kam to nahin jiyalo
ki log bhage to hum na bhage
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.