mahmud darwesh ke liye KHat
mere pyāre sogvār
mujhe ma.alūm huā hai
ki tumhāre logoñ se zinda rahne kī jagah
aur haq chhīne jaane ke baa.is
tumhārā dil ḳhairiyat se nahīñ rahā
mujhe ma.alūm huā hai
ki tumhāre bahāduroñ ko dhuup se bachāne vaalī Topiyāñ
un ke ḳhuun se surḳh aur tumhārī sābir auratoñ ke chehre
ġham kī shiddat se siyāh ho chuke haiñ
mere bhaa.ī zaitūn ke daraḳhtoñ par lage phuul
aur tumhāre phūloñ jaise bachchoñ se umaDne vaalī
ḳhushbū bārūd aur dhuveñ kī bū meñ
badal chukī hai
aur mere dost
sunā hai tumhāre sar par haath rakhne vaale
ab unhīñ hāthoñ se tumhāre pairoñ ke nīche zamīn khīñch rahe haiñ
abhī is ḳhat ko likhte hue aisā lagā
jaise koī darvāze par hai
maiñ ne darvāza kholā
to bāhar duur tak kuchh na thā
na koī imārat na koī ghar
na koī mausam na koī din
na koī shaḳhs na koī saaya
na koī ġham na koī aañsū
sirf sunānā aur ḳhāmoshī
maiñ ne apne dil kā darvāza band kar liyā
aur vāpas aa gayā
yahāñ tamām log mom ke sipāhiyoñ
aur aañsū zahrīlī muskurāhaToñ meñ tabdīl ho ga.e haiñ
mahmūd darvesh
tumheñ tasallī dene aur tumhāre logoñ kī himāyat meñ kahne
ke liye mere paas sivā.e ek namnāk ḳhāmoshī ke
kuchh bhī nahīñ
yā kuchh log jo merī tarah
apnī mezoñ kī band darvāze ke sāmne baiThe
un ke ḳhud-ba-ḳhud khulne yā kisī aur na hone vaale mo.ajize ke muntazir haiñ
mere pyare sogwar
mujhe malum hua hai
ki tumhaare logon se zinda rahne ki jagah
aur haq chhine jaane ke bais
tumhaara dil KHairiyat se nahin raha
mujhe malum hua hai
ki tumhaare bahaduron ko dhup se bachane wali Topiyan
un ke KHun se surKH aur tumhaari sabir auraton ke chehre
gham ki shiddat se siyah ho chuke hain
mere bhai zaitun ke daraKHton par lage phul
aur tumhaare phulon jaise bachchon se umaDne wali
KHushbu barud aur dhuwen ki bu mein
badal chuki hai
aur mere dost
suna hai tumhaare sar par hath rakhne wale
ab unhin hathon se tumhaare pairon ke niche zamin khinch rahe hain
abhi is KHat ko likhte hue aisa laga
jaise koi darwaze par hai
main ne darwaza khola
to bahar dur tak kuchh na tha
na koi imarat na koi ghar
na koi mausam na koi din
na koi shaKHs na koi saya
na koi gham na koi aansu
sirf sunana aur KHamoshi
main ne apne dil ka darwaza band kar liya
aur wapas aa gaya
yahan tamam log mom ke sipahiyon
aur aansu zahrili muskurahaTon mein tabdil ho gae hain
mahmud darwesh
tumhein tasalli dene aur tumhaare logon ki himayat mein kahne
ke liye mere pas siwae ek namnak KHamoshi ke
kuchh bhi nahin
ya kuchh log jo meri tarah
apni mezon ki band darwaze ke samne baiThe
un ke KHud-ba-KHud khulne ya kisi aur na hone wale moajize ke muntazir hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 765)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.