mahngi coffee ke cup mein khaulta hua din
aur maaoñ kī chhātiyoñ se chhīnī
huī javān zindagī kisī safed
parcham par girte haiñ aur ek baḌā
dhabba ban jaatā hai
laundriyoñ meñ dhule ayyām
hamāre siine meñ gāḌhī ga.ī
kīloñ par sukhā.e jaate haiñ
kisī mulk kā naqsha dhabbe se
baḌā nahīñ hotā ki use dhone ke
liye aisā haiz kā ḳhuun sarf kar diyā jaa.e
jo is liye jaarī ho gayā ki
hamal Thaharne ke aivānoñ meñ
koī sarkārī harkāra nahīñ thā
insānī huqūq kī plate meñ
rakhā kāñTā aur beḌiyoñ ko kāTne
vaalī rañg ālūd chhurī mal kar bhī
ḳhudā ke hoñToñ ko zaḳhmī nahīñ kar sakte
zamīn ko uñgliyoñ pe ghumāne vaalā masḳhara
ek din zamīn meñ aisā svārāj karegā
ki zamīn ke siine meñ chhupe din bah
kar fazā meñ phail jā.eñge
khul kar saañs lene kā tex
is qadar baḌh chukā hai ki log
baḌe ġhubbāroñ ko phaaḌ kar
apne chehroñ par chaḌhā leñge
aur ḳhvāb ta.abīr ke siine meñ aisā
ḳhanjar ghoñpegā ki ta.abīr ke ḳhuun
ke chhīñTe sūraj ke muñh par jā lageñge
aur maon ki chhatiyon se chhini
hui jawan zindagi kisi safed
parcham par girte hain aur ek baDa
dhabba ban jata hai
laundriyon mein dhule ayyam
hamare sine mein gaDhi gai
kilon par sukhae jate hain
kisi mulk ka naqsha dhabbe se
baDa nahin hota ki use dhone ke
liye aisa haiz ka KHun sarf kar diya jae
jo is liye jari ho gaya ki
hamal Thaharne ke aiwanon mein
koi sarkari harkara nahin tha
insani huquq ki plate mein
rakha kanTa aur beDiyon ko kaTne
wali rang aalud chhuri mal kar bhi
KHuda ke honTon ko zaKHmi nahin kar sakte
zamin ko ungliyon pe ghumane wala masKHara
ek din zamin mein aisa swaraj karega
ki zamin ke sine mein chhupe din bah
kar faza mein phail jaenge
khul kar sans lene ka tex
is qadar baDh chuka hai ki log
baDe ghubbaron ko phaD kar
apne chehron par chaDha lenge
aur KHwab tabir ke sine mein aisa
KHanjar ghonpega ki tabir ke KHun
ke chhinTe suraj ke munh par ja lagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.