mahr-e-nim-shab
ḳhitta-e-arz pe aisī bhī jagah hai ki jahāñ
shab meñ tārīk ujāle kā gumāñ hotā hai
aise manzar ko maiñ din yā shab-e-dījūr kahūñ
aql hairāñ hai ki aisā bhī kahāñ hotā hai
gardish-e-shams-o-qamar kā hai ajab sirr-e-nihāñ
nīm-shab duur ufuq se kahīñ kirneñ phūTīñ
aisī tartīb meñ kyā maslahat-e-yazdāñ hai
arsh aur farsh jahāñ sūrat-e-hangām mileñ
us ko taqvīm kī mī.ād se mansūb kareñ
yā ki sūraj kā zamīñ se hai bahut duur safar
apne mehvar pe guzarne meñ mah-o-sāl yahāñ
nīm-shab mahr nikaltā hai ba-andāz-e-digar
log kahte haiñ ye ma.amūl shab-o-roz kā hai
kuchh ye kahte haiñ ki mausam kā hai andāz nayā
gardish-e-arz-o-samāñ kā hai ye marbūt nizām
ye haqīqat meñ karishma hai ḳhudāvandī kā
KHitta-e-arz pe aisi bhi jagah hai ki jahan
shab mein tarik ujale ka guman hota hai
aise manzar ko main din ya shab-e-dijur kahun
aql hairan hai ki aisa bhi kahan hota hai
gardish-e-shams-o-qamar ka hai ajab sirr-e-nihan
nim-shab dur ufuq se kahin kirnen phuTin
aisi tartib mein kya maslahat-e-yazdan hai
arsh aur farsh jahan surat-e-hangam milen
us ko taqwim ki miad se mansub karen
ya ki suraj ka zamin se hai bahut dur safar
apne mehwar pe guzarne mein mah-o-sal yahan
nim-shab mahr nikalta hai ba-andaz-e-digar
log kahte hain ye mamul shab-o-roz ka hai
kuchh ye kahte hain ki mausam ka hai andaz naya
gardish-e-arz-o-saman ka hai ye marbut nizam
ye haqiqat mein karishma hai KHudawandi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.