mahrum
mirī donoñ āñkheñ jo be-dārī-e-shab kī shāhid rahīñ haiñ
mirī donoñ āñkheñ jo sone ke nāTak se uktā chukī haiñ
mirī donoñ āñkheñ jo ḳhvāboñ se is darja mahrūm haiñ jaise tū mere chhūne se hai
mirī donoñ āñkheñ jo is dukh kī maarī huī haiñ ki un ke kahe
kā koī sunñe vaalā bachā hī nahīñ hai
ajab hai ki terī tavaqqo meñ bhī sirf bāteñ haiñ merī
tujhe in ko paḌhne kī fursat nahīñ hai
mirī donoñ āñkheñ jo chaubīs pachchīs kī umr meñ bhī pachahattar kī mānind dikhne lagī haiñ
vahī donoñ āñkheñ jo tere liye tab safed-o-siyah rang kī ek tamsīl thiiñ ab bujhe pīle-pan kī numā.inda haiñ
mirī donoñ āñkheñ jo har roz college meñ dīdār se tere khil jaatī thiiñ ab vo tere na dikhne se murjhā chukī haiñ
tujhe video call par dekhnā koī majbūrī hai jo pata hī nahīñ kab machal jaatī hai aur taqāzā-e-bad meñ badal jaatī hai
maiñ pareshān huuñ ab mirī baat sun
in kī ḳhushkī samajh aa mire paas aa
saath cafe pe chal aur mire sāmne vaalī kursī pakaḌ
TikTikī bāñdh le merī āñkhoñ ko paḌh
in meñ jumbish baḌhā āḳhirī baar sulgā ye donoñ diye
taaki ye do diye hī mirī nā-rasā.ī ke asbāb hoñ
taaki ye do diye tere husn-o-kashīsh ke subuk-dariyā-e-jāñ meñ ġharqāb hoñ
meri donon aankhen jo be-dari-e-shab ki shahid rahin hain
meri donon aankhen jo sone ke naTak se ukta chuki hain
meri donon aankhen jo KHwabon se is darja mahrum hain jaise tu mere chhune se hai
meri donon aankhen jo is dukh ki mari hui hain ki un ke kahe
ka koi sunne wala bacha hi nahin hai
ajab hai ki teri tawaqqo mein bhi sirf baaten hain meri
tujhe in ko paDhne ki fursat nahin hai
meri donon aankhen jo chaubis pachchis ki umr mein bhi pachahattar ki manind dikhne lagi hain
wahi donon aankhen jo tere liye tab safed-o-siyah rang ki ek tamsil thin ab bujhe pile-pan ki numainda hain
meri donon aankhen jo har roz college mein didar se tere khil jati thin ab wo tere na dikhne se murjha chuki hain
tujhe wideo call par dekhna koi majburi hai jo pata hi nahin kab machal jati hai aur taqaza-e-bad mein badal jati hai
main pareshan hun ab meri baat sun
in ki KHushki samajh aa mere pas aa
sath cafe pe chal aur mere samne wali kursi pakaD
TikTiki bandh le meri aankhon ko paDh
in mein jumbish baDha aaKHiri bar sulga ye donon diye
taki ye do diye hi meri na-rasai ke asbab hon
taki ye do diye tere husn-o-kashish ke subuk-dariya-e-jaan mein gharqab hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.