maila kapDa
bādal bādal us ke qatre
gahrī udaas chhāñv havā.eñ beva kī chūḌiyoñ kī tarah se chhan chhan
TuuT rahī haiñ
ye kaisā sāvan hai dil meñ kaalā naag yaañ Dañk mārtā hai
maiñ bādal ro.uuñ ki ḳhuun thūkūñ
ḳhuun ki qatra qatra raat ke ḳhauf se ḳhushk huā hai
raat mujhe apne haath se masal rahī hai
maiñ mailā kapḌā huuñ jo na pahanñe ke kaam aa.e na hī rakhne ke
mujh ko jalā do merī raakh havā meñ uḌā do
is raakh ke gahre aur siyāh bādal
is shahr kī chhatoñ par barseñge jin ke koḌh-zada vajūd
muddat se raushnī ko taras ga.e haiñ
aur jin ko mohabbat kī bārish hī sehat-mand kar saktī hai
vo samjheñ to
baadal baadal us ke qatre
gahri udas chhanw hawaen bewa ki chuDiyon ki tarah se chhan chhan
TuT rahi hain
ye kaisa sawan hai dil mein kala nag yan Dank marta hai
main baadal roun ki KHun thukun
KHun ki qatra qatra raat ke KHauf se KHushk hua hai
raat mujhe apne hath se masal rahi hai
main maila kapDa hun jo na pahanne ke kaam aae na hi rakhne ke
mujh ko jala do meri rakh hawa mein uDa do
is rakh ke gahre aur siyah baadal
is shahr ki chhaton par barsenge jin ke koDh-zada wajud
muddat se raushni ko taras gae hain
aur jin ko mohabbat ki barish hi sehat-mand kar sakti hai
wo samjhen to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.