maile dhabbe
zindagī vo safed phuul hai jise
ek dost dūsre dost ko pesh kartā hai
aur jab dushman dost banñā chāhe
to vo bhī is phuul ko sūñgh liyā kartā hai
ye safed phuul har ghar meñ ugtā hai
kahīñ mahak rahā hai
kahīñ suukh gayā hai
kahīñ abhī kalī ke ruup meñ hai
aur āñkheñ jo use dekhtī haiñ
ek dūsre se kitnī muḳhtalif haiñ
kaalī bhūrī niilī āñkheñ
jo bahte paanī kī tarah
is sarhad se us sarhad tak
har jagah maujūd haiñ
jo zamīñ dekhtī haiñ
falak dekhtī haiñ
darmiyāñ dekhtī haiñ
jaane kis tarah is phuul kī safedī par
maile dhabbe aur ḳhuun ke chhīñTe bardāsht kar letī haiñ
zindagi wo safed phul hai jise
ek dost dusre dost ko pesh karta hai
aur jab dushman dost banna chahe
to wo bhi is phul ko sungh liya karta hai
ye safed phul har ghar mein ugta hai
kahin mahak raha hai
kahin sukh gaya hai
kahin abhi kali ke rup mein hai
aur aankhen jo use dekhti hain
ek dusre se kitni muKHtalif hain
kali bhuri nili aankhen
jo bahte pani ki tarah
is sarhad se us sarhad tak
har jagah maujud hain
jo zamin dekhti hain
falak dekhti hain
darmiyan dekhti hain
jaane kis tarah is phul ki safedi par
maile dhabbe aur KHun ke chhinTe bardasht kar leti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.