main aur tum
raat ke pichhle pahar kī sunsān saḌkeñ
rim-jhim barastī bārish kī phuvār meñ bhīgtī
jaise jī uThī thiiñ
jab mere haath apne hāthoñ meñ liye tum ne
lams kī hiddat se bojhal hotī
be-tartīb sāñsoñ ke beach ulajhtī
apnī dil-nashīn āvāz
mere kānoñ meñ tumhāre liye
merī āḳhirī nazm sūrat utārī thī
is anmol lamhe meñ
tumhārī zaat ke sehr meñ khoī huī maiñ
kisī anjān sī yaad kī kasak tale
dhīre se sulagte hue tum
mohabbat kā ulūhī naġhma alāptīñ
gaaḌī ke shīshoñ se Takrātīñ
rim-jhim barastī būñdeñ
dashboard pe dharī bhaap uḌātī
hamāre laboñ meñ paivast hone ko be-qarār
kaafī kī do muntazir pyāliyāñ
chahār-sū chhā.ī tumhāre ehsās kī ḳhushbū se
jaise jāvedāñ ho chale the
yaad nahīñ paḌtā hai ab
ki maiñ tum aur kaafī kī mahak
bārish ke haale meñ
tumhārī nazmoñ kī chhatrī tale
ek dūsre meñ kitnā ghul ga.e the
bas itnā pata hai
ki
vaqt
is lamhe
apnī muTThī meñ qaid
hamāre hisse ke pal
ham pe vārne
Thahar gayā thā
raat ke pichhle pahar ki sunsan saDken
rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti
jaise ji uThi thin
jab mere hath apne hathon mein liye tum ne
lams ki hiddat se bojhal hoti
be-tartib sanson ke beach ulajhti
apni dil-nashin aawaz
mere kanon mein tumhaare liye
meri aaKHiri nazm surat utari thi
is anmol lamhe mein
tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main
kisi anjaan si yaad ki kasak tale
dhire se sulagte hue tum
mohabbat ka uluhi naghma alaptin
gaDi ke shishon se Takraatin
rim-jhim barasti bunden
dashboard pe dhari bhap uDati
hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar
kafi ki do muntazir pyaliyan
chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki KHushbu se
jaise jawedan ho chale the
yaad nahin paDta hai ab
ki main tum aur kafi ki mahak
barish ke haale mein
tumhaari nazmon ki chhatri tale
ek dusre mein kitna ghul gae the
bas itna pata hai
ki
waqt
is lamhe
apni muTThi mein qaid
hamare hisse ke pal
hum pe warne
Thahar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.