main daryuza-gar
tum ne kabhī sochā hai
tumhārī ye gahre sannāToñ meñ Duubī ḳhāmushī is daryūza-gar par kitnī bhārī paḌtī hai
vo bāteñ jo
tumhāre mizāj-e-muallā kī nafāsatoñ pe girāñ guzartī haiñ mere liye kyā ma.anī rakhtī haiñ
kyā
kabhī tum ne pur-sukūt samundar ke andar biphrī un lahroñ kī āvāz sunī hai jo kisī tūfān kā pesh-ḳhema hotī haiñ
maiñ ne sunī hai
mujh se pūchho
tumhārī ḳhāmushī meñ lipTe kisī tūfān kā siren kyā jānte ho tum
maiñ ne sunā hai
tumhāre hoñToñ se gauhar-e-nāyāb kī tarah niklā ek ek lafz tumhārī ye ThanDe mīThe chashme jaisī bāteñ aur shīrīñ andāz-e-suḳhan sahrā meñ
chalte musāfir kī tarah mere vajūd ko sairāb kartā hai
maiñ jo tumhāre dar ke aage apnā dāman phailā.e un nāyāb motiyoñ ko chunñe kī chāhat meñ baiThī rahtī huuñ
jise kabhī to tum nā-murād lauTā dete ho kabhī bahut mehrbāñ ho kar kuchh ḳhairāt
us ke dāman meñ Daal jaate ho
jis ko maiñ tumhārī galiyoñ kī daryūza-gar kisī qīmtī asāse kī tarah
chun ke apnī poTlī meñ rakh letī huuñ
tum ne kabhi socha hai
tumhaari ye gahre sannaTon mein Dubi KHamushi is daryuza-gar par kitni bhaari paDti hai
wo baaten jo
tumhaare mizaj-e-mualla ki nafasaton pe giran guzarti hain mere liye kya mani rakhti hain
kya
kabhi tum ne pur-sukut samundar ke andar biphri un lahron ki aawaz suni hai jo kisi tufan ka pesh-KHema hoti hain
main ne suni hai
mujh se puchho
tumhaari KHamushi mein lipTe kisi tufan ka siren kya jaante ho tum
main ne suna hai
tumhaare honTon se gauhar-e-nayab ki tarah nikla ek ek lafz tumhaari ye ThanDe miThe chashme jaisi baaten aur shirin andaz-e-suKHan sahra mein
chalte musafir ki tarah mere wajud ko sairab karta hai
main jo tumhaare dar ke aage apna daman phailae un nayab motiyon ko chunne ki chahat mein baiThi rahti hun
jise kabhi to tum na-murad lauTa dete ho kabhi bahut mehrban ho kar kuchh KHairaat
us ke daman mein Dal jate ho
jis ko main tumhaari galiyon ki daryuza-gar kisi qimti asase ki tarah
chun ke apni poTli mein rakh leti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.